suno aye chand c larki,
abhi tum keh rahi thi na,
tumhe mujhse mohabat ho nahi sakti..
chalo mana k yeh sach hai,
magar aye chand c larki,
mujhy itna batao tum,
k jab mosam badltay hain,
gulon main rang bharty hain,
tu phir kyon muztarib ho ker,
akely pan se gabra ker,
hawa ko raaz deti ho,
mujhy awaz deti ho..
suno aye chand c larki,
tumhary samnay koi mera jab naam leta hai,
tu phir kyon chonk jati ho?
chalo mana tumhe mujhse mohabat ho nahi sakti..
magar itna samjh lo tum,
jahan chahat nahi hoti,
wahan nafrat k honay ka koi imkan nahi hota,
mera dawa hai chahat main jahan nafrat nahi hoti,
wahan aksar ye dekha hai,
agar kuch waqt kat jaye,
samay ki dhool chat jaye,
tu wehshat bhag jati hai,
mohabat jag jati hai….
abhi tum keh rahi thi na,
tumhe mujhse mohabat ho nahi sakti..
chalo mana k yeh sach hai,
magar aye chand c larki,
mujhy itna batao tum,
k jab mosam badltay hain,
gulon main rang bharty hain,
tu phir kyon muztarib ho ker,
akely pan se gabra ker,
hawa ko raaz deti ho,
mujhy awaz deti ho..
suno aye chand c larki,
tumhary samnay koi mera jab naam leta hai,
tu phir kyon chonk jati ho?
chalo mana tumhe mujhse mohabat ho nahi sakti..
magar itna samjh lo tum,
jahan chahat nahi hoti,
wahan nafrat k honay ka koi imkan nahi hota,
mera dawa hai chahat main jahan nafrat nahi hoti,
wahan aksar ye dekha hai,
agar kuch waqt kat jaye,
samay ki dhool chat jaye,
tu wehshat bhag jati hai,
mohabat jag jati hai….
No comments:
Post a Comment