Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, March 2, 2011

Mohabattien jab shumar karna tau sazishien bhi shumar kerna

Mohabattien jab shumar karna tau sazishien bhi shumar kerna
jo maray hissay mai aye hain woh aziyatien bhi shumar kerna
jalaye rakhoon gi subha tak mai tumaray restay mai apni ankhien
mager kaheen zabt toot jaye tau barishien bhi shumar kerna
jo harf loh-e-wafa pay likhay huay hain in ko bhi deekh lena
jo raye-gan hoo gai woh sari ibratien bhi shumar kerna
yeah serdiyun ka udas mausam, ke dhadkanien barf hoo gai hain
jub in ke yakh bastgi parakhna, tamazatien bhi shumar kerna
tum apni majbooriyun kay kissay zaroor likhna wazhatoon say
jo meri ankhoon mai jal bujhi hain woh khwahishien bhi shumar kerna

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...