veeran bohat hun wasal say
tashkeel ker mujhay,
tu mujhsay pyaar ker zra
tabdeel ker mujhay,
sehra ki tapti rait say a ker
mujhay bacha,
tu thanday meethay pani ki
ik jheel ker mujhay,
ho jayain na khraab kahin
mari adatain,
her hukam per na is terha
ta'meel ker mujhay,
ab is terhaan say mujhko
adhura na chor tu,
mein hun tera wada tu ab
takmeel ker mujhay,
chuu ker mera wajood tajalli c
bakhash day,
mein ik andhairi raat hun
qandeel ker mujhay,
No comments:
Post a Comment