Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, February 15, 2011

Tou Kehta Hai Mein Tera Apna Hon


Who Jab Bi Mujh Se Milta Hai
Tou Kehta Hai Mera Tera Apna Hon
Tu Mujhe Apnaa Lay
Mein Har Pal Tera Apna Hon
Mujhe Na Abb Wasta Hai Kisi Se
Na Koi Bi Hai Mera Apna
Sun Tu Mujhe Gor Se
Gor Se Dekh Tu Meri In Ankhon Mein
In Ankhon Mein Jo Ek Tasveer Rachi Hui Hai
Dekh Tu....!!!
Mere Dil Mein Jo Ek Tasveer Jammi hui Hai
Us Ko Dekh Us Par Yaqeen Kar
Jo Har pal Yehi Pukarti Hai
Hum Tere Apne Hain Hum Tere Apne Hain
Yaqeen Kar Tu Yaqeen Kar Tu
Haan Shayad....!!!
Yaqeen Tu Kar Leta, Kar Leta Mein Yaqeen
Par Shayad....!!!
Us Ne Ye Nehi Abhi Tak Suna K
Yahan Apne Kia Haal Karte Hain Apnoon Ka
Dekh Tu Who Bi Apne Hi Hote Hain
Phir Kyun Who Apnaiyat Bhool Jate Hain
Kyun Bhool Jate Hain
K Kabhi Kisi Apne Ne
Inhein Apne Dil Se Lagaya Hota Hai
Phir Who Kyun Apne Dil Ko Dil Hi Nehi Sumjhte
Kyun Bhool Jate Hain Apne Dil Ko
Kyun Nazim
Who Bi Tu Apne Hi Hote Hain
Our Tu Bi Kehta Hai Mein Tera Apna Hon
Abb Darr Lagta Hai Mujhe Apnoon Se
Abb Mein Apne Bana'ne Se Darta Hoon
                                                            ( Nazim Ali )

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...