Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, January 28, 2011

Tum Poocho Aur Main Na Bataoon Aisay Tu Halaat Nahi

Tum Poocho Aur Main Na Bataoon Aisay Tu Halaat Nahi
Aik Zara Sa Dil Toota Hay Aur Tu Koi Baat Nahi

Kiss Ko Khaber Thee Sanwlay Badal Bin Bersay Urr Jatay Hain
Sawan Aya Lakin Apni Qismat Main Bersaat Nahi

Toot Giya Jab Dil Tu Phir Ye Saans Ka Naghma Kia Maani
Goonj Rahee Hay Kion Shehnayee Jab Koi Baraat Nahi

Ghum Ke Andheray Main Tujh Ko Apna Saathi Kion Samjhoon
Too Phir Too Hay Mera Tu Saya Bhi Mere Saath Nahi

Mana Jeewan Main Aurat Aik Baar Muhabbat Kerti Hay
Lakin Mujh Ko Ye Bata De Kia Too Aurat Zaat Nahi

Khatam Hua Mera Afsana Ab Ye Ansoo Poonch Bhi Lo
Jiss Main Koi Tara Chamkay Aaj Ki Raat Wo Raat Nahi

Mere Ghumgeen Honay Per Ehbaab Hain Youn Heraan
Jesay Main Pather Hoon Meray Seenay Jazbaat Nahi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...