Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, January 28, 2011

Mein tum ko yaad nehi karta magar

main aksar khud se ye kehta hoon
main tum ko yaad nahi karta
magar

kabhi jo bethey bethey kho jaata hoon
kabhi jo hanstay hanstay ro jaata hoon
to poochte hain sub hi yaar meray
main kiyun aisa ho jaata hoon
to un se main ye hi kehta hoon
main tum ko yaad nahi karta

main ab rehta hoon logo se kat kar
bhool jaata hoon apni cheezain rakh kar
neend aati nahi hai raaton ko mujhe
khuwad dekhta hoon khuli aankhon se aksar
magar main phir bhi kehta hoon
main tum ko yaad nahi karta

kabhi raaton ko nikal jaata hoon besabab
raston ka pata aur na manzil hai koi ab
bus yun hi chala ja raha hoon anjan raston par
jaanay ye safar ho ga khatam kab
phir bhi main yehi kehta hoon
main tum ko yaad nahi karta

agar kabhi milo gi zindagi ke kisi mor par
nahi poochon ga ke kiyun gaee thi mujhe chor kar
agar tum ne kuch poocha guzray dino ke baray main
to main bhi chala jaon ga tumhara dil tor kar
aur bas itna hi tum se kahon ga
main tum ko yaad nahi karta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...