Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, January 28, 2011

kaise khushboo ki tarah log bikhar jaate hain

khushi ka kiya hia bharosa kahan bichar jae
rah-e-hayat mein gham ko bhi hum safar rakhna

un se bichre hain to mehsoos huwa hai "FIDA"
kaise khushboo ki tarah log bikhar jaate hain

hum se hamare chahne wale bichar gae
abb un ki qurbaton ke zamane guzar gae

bichar ke mughe tu ne yeh bhi socha hai
adhora chand bhi kitna udass rehta hai

hum se rah-e-hayat mein bichra jo aik shakhas
ankhen bhi us ke saath hi jaise bichar gain

tughe se kiya bichre ke ankhen raiza raiza ho gain
aaine toote to chehra aur dhundla dhundla ho gaya

bichar gae hain kahan hum safar khuda jane
nakoosh pa bhi nahi jurs karwan bhi nahi

phir us ki yaad mein dil be-qarar hai "faysal"
bicher ke jis pe hoi shaher shaher ruswai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...