Nazim's poetry
Friday, January 28, 2011
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sare-e-raah miley
Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh doon
Yeh jo gardishen hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain
Mein taka karoon tujhey jazb se
Yunhi pyar se yunhi ishq se
Teri her adaa ko samait loon
Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhon
Na tu keh sakey , na mein keh sakon
Tu jo paas ho to mein jee sakon
Tu jo door ho na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh doon
Ye jo silsiley hein meri saans ke
Teri doori mein hi haar doon
Tu jo paas ho to mein jee sakoon
Tu jo door ho , na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey hum safar tu jo na miley…!
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment