Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, September 27, 2013

wo apni tehreer mein likhti hai

Kya kya baatein 
wo apni tehreer mein likhti hai, 
ek nayi takdeer 
meri takdeer me likhti hai, 
wo aisi hamdard k 
apne pyar ke saare lafz 
mere haathon ki lakeer mein likhti hai,
 koi raaz chhupana shayad 
pasand nahi use, 
wo apna har khawab 
khuli tabeer mein likhti hai, 
main uska ek man-chaha qaidi hoon 
issi liye naam mera 
wo zulfon ki zanjeer mein likhti hai, 
bol uthe ek ek ta‘assur 
us ke chehre se, 
Saari kahani wo 
apni tasveer mein likhti hai, 
khoob chehekti hai 
wo khat ke pehle hisse mein, 
lekin dil ki sachi baat 
aakhir mein likhti hai, 
jis khoobi se 
pehchana jaye koi shakhs, 
qudrat wo khoobi 
uske khoon-e-khameer mein likhti hai… 



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...