Zabt ki kaun sii manzil thii???
Kis muqam pa aa key harey hain
itnaa tou tumhain maloom hii hai
teray naam pa aa key harey hain
Kabhii khud par jabar kiyaa hum ney
Kabhii khud ko yun bey moal kiya
Hum subhoon key loatney waley they
Ik shaam pa aa key harey hain
Ik dard e musalsal hota hai
Ik barish andar hoty hai
Key heeroon jaiseey log yahan
Ilzaam pa aa key harey hain
Kab jeet ka hum ney dawaa kiya
Yeh azal abad ka qissa hai
Hum be khabry key alam mai
Anjaam pa aa key harey hain... -
No comments:
Post a Comment