Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 29, 2013

~*~ meri tehreer ke aansoo....!! ~*~

suna hoga bohat tum ne ....

kahiN aankhoN ki rim jhim ka

kahin palkoN ki shabnam ka...

parha hoga bohat tumne ....

kahiN lehjay ki barish ka

kahiN sagar ke aansoo ka...

magar tum ne kabhi humdam ...

kahin daikhay? kahin parkhay?

kisi tehreer ke aansoo??...!!

mujhe teri judaai ne ...

yehi mairaaj bakhshi hai...

ke main jo lafz likhta hooN ...

woh saray lafz rotay hain

ke main jo harf bunta hooN ...

woh saray bain kartay hain

mere sang is judaai main ...

mere alfaz martay hain

sabhi tareef kartay hain ...

meri tehreer ki lekin..

kabhi koi nahin sunta ...

mere alfaz ki siski...

falak bhi jo hila daalay..

mere lafzoN main hain shamil ...

usi taseer ke aansoo...

kabhi daikho mere humdam...

meri tehreer ke aansoo..!!



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...