Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 3, 2013

Dard Na Chun

Maan le ab bhi meri jaan-e-ada,
 dard na chun.
Kaam aati nhi phir koi dua,
 dard na chun.

Aur kuch dair mein 
mujh ko chale jana hoga.
Aur kuch dair mujhe khawab dikha,
 dard na chun.

Aik bhi dard na kam hoga
 kai sadiyon mein.
Ab bhi kehta hon tujhe waqt bacha,
 dard na chun.

Wo jo likha hai kisi tor nhi tal sakta.
Aa mere dil min koi deep jala,
 dard na chun.

Main tere lams se 
mehroom na reh jaon kahin.
Aakhri bar mujhe khud se laga,
 dard na chun.

Ab to ye reshmi poren bhi
 charhi jati hain.
Khud ko ab bakhsh bhi de, 
zulam na dha, 
dard na chun.

Ye nhi hon ge to
 khali nhi ho jaon ga main.
Mere zakhmon se koi geet bana,
 dard na chun.

Kuch na de ga 
ye masayel se ulajhte rehna.
Chor sab kuch meri banhon min sama, 
dard na chun.



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...