Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 3, 2013

Gumshuda mohabbat

Gumshuda mohabbat k khwabon ki trah he.
Wo rooh k sehra min sarabon ki trah he.

Wo zeest k maktab min nisabon ki trah he.
Parhta hon use roz, kitabon ki trah he.

Ab us se khayalon min hi ho jati hen baten.
Go beech min parda he, hijabon ki trah he.

Us shakhs k lehje min sheeshe ki khanak he.
Rag rag min utarta he sharabon ki trah he.

Us shakhs k pekar min he shakhon ki lachak si.
Us shakhs ka chehra bhi gulabon ki trah he.

Jo wisal ki raton min he ik maah e musalsal.
Furqat min wahi shakhs azabon ki trah he.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...