Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, May 6, 2013

Main Khud Ko Seekha Don Ga


Abb Soch Ko Apni Mein Nia Rang Don Ga 
Har Haal Mein Jeene Ka Hunner 
Main Khud Ko Seekha Don Ga 


Abb Mujhe Sarokar Nehin 
In Sabz Rutton Se 
Main Abb Zard Rutton Se
 Hi Zindagi Sajaa Lon Ga 

Mohabbat Mein Jo Tou Ne Kiye 
Wo Sare Wade Jhoote Hain 
Main Tujhe Bhola Tu Nehin Sktaa '
 Magr Abb Tujh Se Natta Tor Lon ga 
Nehin Lena Abb Koi Ahsan
 Mujhe Teri Zaat Ka 
Milna Bi Gar Tu Chahe 
Tou Koi Bahana Main Bana Lon Ga

Us Ki Tarif Wapis Abb Lot Jaon
 Aisa Mumkin Hi Nehin Nazim 
Jaloon Ga Tanhai Mein 
Or Khud Ko Aise Mohabbat Ka Maza Don Ga

( Nazim Ali )

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...