Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, May 25, 2013

Aasmaan sey inaayatain

Aasmaan sey inaayatain

na tujhey mileen na mujhey mileen
Mohabbaton sey raahatein

na tujhey mileen na mujhey mileen

Hamein aashiqi mein sach mila

hamein zindagi mein sab mila
Magar be’wafaai ki aadatein

na tujhey mileen na mujhey mileen

Udhar tu dua mein laga raha

idhar mein dua mein lagi rahi
Par mannaton sey haajatein

na tujhey mileen na mujhey mileen

Thi aarzu kabhi saahilon pe

terey saath saath hum chal sakein
Par samandaron sey ijazatein

na tujhey mileen na mujhey mileen

Jis zindagi ki khaahishon mein

so rat-jagon mein sajood keeye
Us zindagi ki bashaaratein

na tujhey mileen na mujhey mileen

Hasraton ke deeyon ko aag

kabhi tu ney di kabhi mein ney di
Magar roshni ki alaamatein

na tujhey mileen na mujhey mileen

Na to terey dard rukey kaheen

na merey zakhm bharey kabhi
Sabar-o-shukar ki haalatein

na tujhey mileen na mujhey mileen

Teri manzilein kahein aur thein

meri manzilein kahein aur thein

Kisi aek simt ki musafatein
na tujhey mileen na mujhey mileen

Tu thehar gaya kisi aur ke ghar

mein ruk gayie kisi aur ke darr
Man-pasand si chaahatein

na tujhey mileen na mujhey mileen

Hamaari pur_khaloos neeyaton

sey manzilein kyun chin gaYiEn!
Muqaddaron sey wazahatein

na tujhey mileen na mujhey mileen..!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...