Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, April 30, 2013

Kabhi To Mojza Hoga JääNä


Tum Jo Chaho Hum Ussi Mein Dhal Jayen Gain
Aa K Tere Pas Mom Ki Tarha Pighal Jayen Gain

Na Karo Dava Koi Chahay Ga Tumhain Meri Tarha
Youn To Chahney Waly Tujhey Bohat Mil Jayen Gain

Mohabat K Nam Pe HUM Ko Yhi Bakhsh Do
HUM Tere Qadmon Ki Khak Say Behal Jayen Gain

Tum Jo Chaho Bhi To HUM Ko Bhula Na Sako Gay
HUM Teri Roh Mein Mohabat Ki Tarha Utar Jayen Gay

Zinda Rakha Hai Humain Is Aas Nay Ab Tak
Kabhi To Mojza Hoga JääNä Aap Hum Say Mil Jain Gay

Koi Naam Aisey Likha Nahi...!


Wo Jo Dil Mein Tera Maqam Hai,
Kissi Or Ko Wo Diya Nahi,

Wo Jo Rishta Tujh Say Hai Ban Gaya,
Kissi Or Say Wo Bana Nahi,

Wo Jo Pyar Tujh Say Ho Gaya,
Kissi Or Say Wo Hua Nahi,

Wo Jo Raaz Tujh Say Hai Keh Diya,
Kissi Or Say Wo Kaha Nahi,

Wo Jo Sukh Mila Teri Zaat Say,
Kissi Or Say Wo Mila Nahi,

Tu Basa Hai Ankhon Mein Jis Tarha,
Koi Or Aisey Basa Nahi,

Tu Hua Hai Jitna Qareebtar,
Koi Or Itna Hua Nahi,

Tera Naam Dil Mein Hai Jis Tarha,
Koi Naam Aisey Likha Nahi...!

Hamari Muskrahat Ki Tarha


Ab Teri Baat Mein Wo Zoq-E-Muhabbat Nahi Raha "Aye Dost"

Lagta Hai Tu Ny Bhi Humain Chor Diya Hamari Muskrahat Ki Tarha

Mohabbat Cheez Aesi Hai...!


Mohabbat Cheez Aesi Hai...!

 Kabhi Hoti Hy Apno Say
 Kabhi Hoti Hy Sapno Say

 Kabhi Anjaan Raaho Say
 Kabhi Gumnaam Naamo Say

 Muhabbat Cheez Aesi Hai
 Kabhi Hoti Hy Phoolon Say

 Kabhi Bachhpan K Jhoolon Say
Kabhi Bay-Ikhtiari Mein

 Kabhi Pakkay Usoolon Say
 Muhabbat Ik Muhabbat Hai

 Muhabbat Ik Sadaqat Hai
 Muhabat Ik Ibadat Hai

 Muhabbat Cheez Asi  Hai 
Dukhon Mein Rola Deti Hai 

Dard Anmol Deti Hai 
Zehar B Ghol Deti Hai 

Muhabbat Cheez Aesi Hai...!!!

Haadsa Muhabbat Ka


Kiss Kadar Anokha Hy Raabta Muhabbat Ka,
Kab Na Janay Ho Jaye Mojza Muhabbat Ka.

Apni Zaat Sy B Wo Ajnabi Sa Lagta Hy,
Jiss K Sath Ho Jaye Haadsa Muhabbat Ka.

Wo Chala Hi Jata Hy Jis Ny Jana Hota Hy,
Lakh Do Chahay Usko Waasta Muhabbat Ka.

Zindagi Mein Jeenay Ka Aasra Nahi Rehta,
Jab Kisi Sy Cheen Jaye Hosla Muhabbat Ka.

Doston Sy Agar Tumhain Muhabbat Hy,
Doston Ko Mat Dena Mashwara Muhabbat Ka...!

Wo tu Ik Chiragh Hai


Kon Kehta Hai Wo Mere Baghair Tanha Hoga,
Wo Ik Chiragh Hai Kahin Aur Jalta Hoga.

Yeh To Hum Hain Ek Saa-kin Si Jheel,
Wo To Bikhra Huwa Ik Dariya Hoga.

Wo To Rehta Hai Mohabbaton K Dais Mein,
Usay Kiya Khaber Koi Us Ko Sochta Hoga.

Wo Mere Dard Say Be-Khaber Nahin Tha Magar,
Usay Dukh Baatany Ka Na Saleeqa Hoga.

Itna Naadan Nahin K Samjh Bhi Na Sakay Hum Ko,
Ussi Ka Tazkara Meri Har Ghazal Mein Huwa Hoga.

Banaya Gaya Tha Hamein Khulus Ki Miti Say,
Hamein Khaber Na Thi Wo Bad Gumaan Hoga.

Main Nay Usay Chahaa To Chaahta Hi Gaya,
Meri Shiddton Say Ghabra Ker Wo Chal Diya Hoga...!!!

Bewafa Ho Jatey Hain Log...!


Hanstey Hain Yun Hi Hans K Rola Jatey Hain Log,
Miltey Hain Yun Hi Mil K Judaa Ho Jatey Hain Log,

Pal Do Pal Umar Ka Sath Na Samjho,
Mohabbat B Kartey Hain Or Khafa B Ho Jatey Hain Log,

Qaiedi Hain Na Janey Kin Kin Majboriyon K,
Kar K Izhaar-E-Mohabbat Beparwa Ho Jatey Hain Log,

Ab Kis Sy Shikwa Karein Apni Kismat Ka,
Kar K Wafa K Wadey Bewafa Ho Jatey Hain Log...!

Mujhy Aik Awaaz Dy Dena...!!!


Tum Jisey Chaho Apna Andaz Dy Dena,

Haq Itna Sa Mujhy Aaj Dy Dena,

Nazrain Duniya Ki Jab Tumhy Tanha Chhor Dy 

Us Morr Par Mujhy Aik Awaaz Dy Dena...!!!

Wasta Kissi Say Nahi.......!


Dekh K Duniya Ko Hum Bhi Badlein Gain, Ab "Mizaaj-E-Zindagi",

Rabta Sab Say Hoga Laykin Wasta Kissi Say Nahi.......!!!

Is Qadar Qareeb Mere


Laoungi Kahan Say Main Judaayi Ka Honnsla

Kyoun Is Qadar Qareeb Mere Aagay Ho Tum...!!!

Mera Haath Tham Lo...!


Zindagi Hai Kuch Pal Ki Baki Abhi,
In Palo Ko Mere Sath Tum Guzar Lo,

Kal Ka Na Karo Intezar Tum,
Aaj Mila Hai Mauka Mera Haath Tham Lo...!

Tum Bin Koi OR Nahi Mera


Yun To Meri Har Baat Samajh Jatay Ho Tum,

Phir Bhi Q Mujhay Satatay Ho Tum,

Tum Bin Koi OR Nahi Mera,

Kya Issi Baat Ka Faida Uthatay Ho Tum...!

Main Aksar Usay Kehta Hoon


Main Aksar Usay Kehta Hoon,
Tum Shor Bohat Machaati Ho.

Phir Wo Mujhsey Kehti Hay,
Jab Kalaai Meri Tum Pakro Gay.

Chorri To Meri Khankay Gi,
Chorri Ka Shor To Hota Hay.

Jab Pyar Sy Mujhey Bhulao Gay,
Tab Dorr K Main To Aungi.

Phir Paayal Meri Khanky Gi,
Paayal Ka Shor To Hota Hay.

Jab Bindiya Meri Chamky Gi,
Yeh Aankh Me Teri Damky Gi.

Jazby Phir Shor Machayen Gay,
Jazbon Ka Shor To Hota Hay.

Zulf Meri Suljhaaty Huwey,
Jab Gajray Ko Bikhraao Gay.

Tab Saansain Meri Mehken Gi,
Saanson Ka Shor To Hota Hay…!!!


Ya Mera Aitbar Kar.......!!


Mujay To Is Jahan Mein Sirf Tum Say Muhabat Hai,

Yaa Mera Imtehan Lay,Ya Mera Aitbar Kar.......!!!

Shayad Bhool Janey Pay


Na Koi Subha Naa Koi Shaam Datey Ho
Dil Dharakne Ko Muhabbat Ka Naam Datey Ho….?

Roz Chaley Atey Ho Khuwabon Mein Mere
In Ankhoon Ko Na Ek Pal Tum Araam Datey Ho….?

Tum Na Pucho Gay Kabhi Haal-e-Dil Mera
Aur Ghairon Ko Har Roz Saalam Datey Ho….?

Hum Nay Yaad Rakha Is Liye Mujrim Thehrey
Shayad Bhool Janey Pay Tum Inaam Datey Ho...?

"WAFA" Walon Ki "Tanhaiyan"...!


Wo Bohat "Masroof" Hai Apnay "Hum-Nawaon" Mein,

Bhala Wo Kya Janay "WAFA" Walon Ki "Tanhaiyan"...!

Yahi Dastoor-E-Ulfat Hai


Yahi Dastoor-E-Ulfat Hai, Nami Aankhon Mein Lay Ker Bhi,

Tumhein Yeh Kehna Parrta Hai K Mera Haal Behtar Hai...!

Tum Meri Kainaat Ho…!


Jee Chahta Hai Un Say Pyari Si Baat Ho,

Haseen Chand Tarey Hon, Lambi Si Raat Ho,

Phir Raat Bhar Yehi Guftagu Rakhein Hum Dono,

Tum Meri Zindagi Ho, Tum Meri Kainaat Ho…!

Teri Taqdeer Ban Jaoun


Tere Hath Ki Main Wo Lakeer Ban Jaoun,
Sirf Main Hi Tera Muqadar Teri Taqdeer Ban Jaoun,

Main Tujhay Itna Chahoon K Tu Bhool Jaye Her Rishta,
Sirf Main Hi Tere Har Rishtay Ki Tasweer Ban Jaoun,

Tu Ankhain Band Karay To Aaoun Main Hi Nazar,
Is Tarha Main Tere Har Khawab Ki Tabeer Ban Jaoun...!

Main Nay Rakha Hai Ghazal Mein


Mujh Say Ulajh Parhay Na Yeh Andheri Raat Kaheen,

Main Nay Rakha Hai Ghazal Mein Tera Naam Chaandni...!!!

Ek Esi Daastan Kar Do...!


Hazaron Daastanein Hain,

"Heer Ki", "Sheerien Ki", "Laila Ki",

Tum Apne Sath Mujh Ko Bhi Ek Esi Daastan Kar Do...!

Kabhi Khamosh Betho gi





Kabhi Khamosh Betho gi 
Kabhi kuch gun gunao gi,
main utna yaad aaonga jitna 
mujhko bhulaoogi.

Kabhi khamosh betho gay 
kabhi kuch gun gunao gay,
main utna yaad aoongi mujhe
jitna bhulao gay.

Parho gay khat kabhi mere,
kabhi tasveer dekho gay, 
kabhi haathon main jo likhi
hai woh takdeer dekho gay. 

Likho gi kuch hatheli par,
parho gi kuch kitaabon main, 
nazar aoongi main tum ko
sawalon main, jawabon main.


Kabhi tum muskurao gi, 
kabhi ansoo bahaogi,
kisi se kuch chupaogi,
kisi ko kuch bataogi. 

Kabhi khamosh betho gay,
kabhi kuch gungunao gay,
main utna yaad aoongi,
mujhe jitna bhulao gay.

Kabhi khamosh betho gi,
kabhi kuch gungunao gi,
main utna yaad aoonga,
mujhe jitna bhulao gi.

Mere seene pey sar rakh kar 
guzari hai kayi raatein,
bhula sakti ho kaise tum woh,
pal pal ki mulakatein.

Nayi raaton main tum aksar,
puranay din talaasho gay, 
koi chehra bhi mil jaye,
mera chehra talaasho gay,
meri tasveer phenko gay,
na meray khat jalao gay,
diya apnay sarhanay ka jalao gay bhujao gay.

kabhi khamosh betho gi,
kabhi kuch gungunao gi,
main utna yaad aoonga mujhe jitna bhulao gi.

kabhi khamosh betho gay,
kabhi kuch gungunao gay, 
main utna yaad aoongi mujhe jitna bhulao gay. 


Main utna yaad aoonga jitna mujhe bhulao gi. 




Thoda thoda besabar hai




Thoda thoda besabar hai, bekhabar hai
Jo dil hai tera mera
Thoda thoda hosh uda hai, gumshuda hai
Jo dil hai tera mera

Ho jabse main tujhse mila hoon
Tabhi se toh main khoya sa rehta hoon
Tabhi se toh hai tapish ye khalish ye khumari

Piya.. piya, naa maane mera jiya
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa, main jaanu naa 

Har ek pal shaqal badal ke
Mujhe dikha raha hai khwaab kal ke
Dekho na khwab hai dekh lo, ho...

Asmaan se main phisal ke
Teri baahon me rahoon pighal ke
Aaj ki yeh raat hai kal kya jaane ho

Ho dil ne iraada kiya hai
Aankhon se koi ishara de diya hai
Kaisi ho rahi tapish ye khalish ye khumaari

Piya.. piya, naa maane mera jiya...
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa, main jaanu naa 

Dil tu sambhal raha hai ab kyun
Behoshiyaan khili hai ab tu
Baahon mein ye karwate baandh le

Zara thehar ke sun jo main kahoon
Nazdiqiyon mein ghul ke ab tu
Saanson ki aahatein thaam le, jaan le
Pehchaan le jo huaa hai
Sach hai yaa ho raha koi gumaan hai
Kaisi ho rahi tapish ye khalish ye khumaari

Piya.. piya, naa maane mera jiya
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa, main jaanu naa 





Tum Meri Hi Ho Na...???


Woh Jab Bhi Mujhse Milti Thi...
Har Bar Masoomiyat Se Poocha Karti Thi,???
K Tum Mere Hi Ho Na...???

Aur Main Har Baar Us K Chehrey Ko Chookar 
Qasam Khaya Karta Tha,

Par Kash... 
Mainay Ek Baar Us Se Pooch Liya Hota...
K Tum Meri Hi Ho Na...???



Tasali-E-Dil Ho Jati Hai


Haal Pochny Se Konsa Haal Theek Ho Jata Hai,

Tasali-E-Dil Ho Jati Hai K Koi Hamara Bhi Hai...!!!

Haal Pochny Se Konsa Haal Theek Ho Jata Hai,

Tasali-E-Dil Ho Jati Hai K Koi Hamara Bhi Hai...!!!

Tasali-E-Dil Ho Jati Hai


Haal Pochny Se Konsa Haal Theek Ho Jata Hai,

Tasali-E-Dil Ho Jati Hai K Koi Hamara Bhi Hai...!!!

Zanjeer Main Daloon Kaisay...!!!


Tujh Say Milti Hoon To Yeh Soch Mein Parr Jati Hoon K

Waqt K Paaon Mein Zanjeer Main Daloon Kaisay...!!!

Tarjumani Mohabbat Ki...!


Laa-Jawab Ho Jaati Hoon Main Teri Har Baat Pay Aksar,

Kahan Se Seekhi Hai Tum Nay Tarjumani Mohabbat Ki...!

Apne Apne Honslay


Apne Apne Honslay,
 Apni apni Talab Ki Baat Hai,

Chun Liya Hum Nay Tumhein, 
Sara Jahan Rehney Diya...!

Monday, April 29, 2013

Teri Saadgi Bhi Kamaal Hai...!



Teri Dastan-E-Hayat Ko Likhon Kis Ghazal K Naam Se,

Teri Shokiyaan Bhi Ajeeb Hain, Teri Saadgi Bhi Kamaal Hai...!










Hum Tum Mile Yun Pyaar Mein


Hum Tum Mile Yun Pyaar Mein
Mitne Lagi Tanhaaiyaan

Ab Hai Nahin Kuch Faasley 
Bas Pyaar Hi Hai Darmiyaan

Hum Tum Miley Yun Pyaar Mein
Mitney Lagi Tanhaaiyaan

Kismat Mein Hi Tha Tumsey Milna
Mohabbat Nigaahon Mein Palney Lagi

Tujhey Zindagi Keh K Bhulaaney Lagi
Mohabbat Duayein Karney Lagi
Saaton Janam Yeh Maangney Lagi


Kar K Safar Chaley Jana


Mere Zakhmon Ko Laga K Marham Chaley Jana,
Assan Mohabbat Ka Kar K Safar Chaley Jana.

Ho Jaye Kaise Mohabbat Yeh Batana Muskil,
Ek Nazar Dil Mein Utar Jaye To Chaley Jana.

Door Nazron Se Tere Hone Ka Kabhi Gham Na Ho,
Dil K Aainey Mein Aks Utar Jaye To Chaley Jana.

Lafz Na Miley Jo Tumhey Izhar-E-Mohabaat K Liye,
Isharon Mein Dil Ki Baat Samjha Kar Chaley Jana...!

Teri Hi Qaid Mein Mujh Ko...!


Na Kar Azaad Yun Mujh Ko Tu Apne Dil Ki Duniya Se,

K Rehna Hai Saada Ab To Teri Hi Qaid Mein Mujh Ko...!

Koi Apna Nahi Hota...!!!


Talaash-E-Wafa Say Kyoun Khudi Ko Aziyat Datey Ho, ''Ali'',

Ab Maan Bhi Lo K Duniya Mein Koi Apna Nahi Hota...!!! 

Giley Shikway Na Dil Say Laga Lena


Giley Shikway Na Dil Say Laga Lena,

Kabhi Maan Jana To Kabhi Manna Lena,

Kal Ka Kya Pata Hum Ho Na Ho

Jab Bhi Moqa Mily Kabhi Hans
 Lena Kabhi Hansa Lena...!
:D :D ;)

Kissi K Liye Khass Hota Hai...! ;) ;) ;)


Ek Jaisa Dil Sab K Pass Hota Hai,

Phir Kyoun Nahi Sab Se "PYAR" Hota Hai,

Insan Chahey Kitna B Aam Kyoun Na Ho,

Par Wo Kissi Na Kissi K Liye Khass Hota Hai...!   ;) ;) ;)

Jahan Tak Tha Tera Sath


Mukaam-E-Mohabbat Tunay Samjha Hi Nahi Warna,

Jahan Tak Tha Tera Sath Wahi Tak Thi Meri Zindagi...!

Rokna Meri Hasrat Thi


Rokna Meri Hasrat Thi Aur Jaana Us Ka Shoq...

Woh Shoq Poora Kar Gayi Meri Hasratain Torr Kar...!!!

Kya Maan Lain


Samjhay They Dosron Say Mukhtlif Tujhay,

Kya Maan Lain K Tu Bhi Hamara Nahi Raha...!

Koyi Rishta Banaye Rakhna


Dil Ki Basti Ko Weerana Na Banaye Rakhna,

Kuch Na Ho To Yaadon Ko Sajaye Rakhna,

Mulaqaton Ka Na Sahi Yaadon Ka Sahi,

Hum Say Jaisey Bhi Ho Koyi Rishta Banaye Rakhna.

Aakhri Baar Us Say...!


Khench Laiti Hai Mujhay Us Ki Muhabbat Warna, 

Main Kayi Baar Mila Hoon, Aakhri Baar Us Say...!

جو تیری یاد سے ہرا ہوجائے۔ ۔ ۔


دل محبّت میں مبتلا ہو جائے 

جو ابھی تک نہ ہوسکا ہو جائے

تجھ میں یہ عیب ہے کے خوبی ہے

جو تجھے دیکھ لے تیرا ہو جائے

خود کو ایسی جگہ پہ رکھا ہے

کوئی ڈھونڈے تو لاپتا ہو جائے

میں تجھے چھوڑ کے چلا جاؤں

سایہ دیوار سے جدا ہوجائے

بس وہ اتنا کہے مجھے تم سے

اور پھر کال منقطح ہو جائے

جس طرح جل رہا ہے صددیوں سے

عین ممکن ہے دل دیا ہوجائے

ایک دو بار عشق جائز ہے

یہ اگر تیسری دفعہ ہوجائے 

دل بھی کیسا درخت ہے حافی

جو تیری یاد سے ہرا ہوجائے۔ ۔ ۔!

Mujhey Chorr Day Mere Haal Per


Mujhey Chorr Day Mere Haal Per Aye Hum Safar,

Teri Mukhtsar Si Nawazishen Mera Dard Aur Na Barrha Day...!!!

Thaam Loon Hath Tera


Thaam Loon Hath Tera Aur Tujhay Itna Door Lay Jaoun,

Jahan Tujhay Mere Siwa Koi Aur Dekh Bhi Na Sakay...!

Teri Pehchan Say Pehley...!


Dil Ki Baat Kehta Hoon Bura To Na Mano Gey,

Barri Rahat K Din They Teri Pehchan Say Pehley...!

Koi Aisa Dey Mujh Ko Dhoka


Main Tujh Ko Panay Ki Hasrat Mein 

Kab Tak Zillat Uthata Rahoon,

Koi Aisa Dey Mujh Ko Dhoka

 K Meri Aas Toot Jaye...!!!

Youn Chor Ke Rastey Mein


Youn Chor Ke Rastey Mein

 Na Jaya Karo Sathi,

Kuch Musafron Ki Manzil

 Humsafar Hoti Hain...! 

Hum Aik Hain...!!!


Main Jab Bhi Toot'ta Hoon

 Tujhay Dhoondta Hoon,

Tu ne Ek Bar Kaha Tha Na 

Hum Aik Hain...!!!

Saturday, April 27, 2013

Khushak Pattay Ki Tarhaa Hai Zindagi Meri Nazim

Main Ne Chaha Tha 
Bikharne Se Bacha Lon Us Ko
Qismat Hi Kharab Nikli 
Ab Nehin Hai Yaqeen Mujh Pe Us Ko
Tha Ek Waqt Wo Jab Mohabbat Hi Mohabbat
 Ghomtii Thi Char So
Tanhaai Hai Ab Afsurdaa Hon Main'
 Koi Aas Umeeeb Nehin Us Ko
Rang-e-Mohabbat Nehin Rahaa Abb Main' 
Tamasha Na Kar Youn 
Hasrat-e-Deed Rekh Ankhon Mein Sajaa Le' 
Hai Ye Waqt Bura Koi Bata De Us Ko
Nazim Hon Main
 Chotte Se Dil Ka Malak Roo Don Ga 
Kanch Ka Shehar Hai Ho Jaye Ga Tukre Tukre
 Kese Ye Bata Don Us Ko
Khushak Pattay Ki Tarhaa Hai
 Zindagi Meri Nazim 
Tezz Hawa Ke Sang Ho Liya Tou
 Jane Kidhar Jaon Ga
 Khudara Ye Sumjha De Us Ko
Yahan Tohfaa-e-Mohabbat Hi Hai
 Dil ka Sakon Nazim 
Mil Jaye Jiss Ko Hai Sab Kuch Us Ka'
 Apni Qismat Main Na Hai
 Kese Phir Laa Don Us Ko 
( Nazim Ali )


Friday, April 26, 2013

Pukara Nahi Usay...!


Ek Nazar Bhi Dekhna Gawara Nahi Usay,
Zara Bhi Ehsaas Hamaara Nahi Usay,

Wo Sahil Say Dekhta Raha Doobnay Ka Manzar,
Hum Bhi Zidd Mein Thay K Pukara Nahi Usay...!








Ab Ek Nazar Mein Lutt Janay Ka


Mohabbat Bhi Hoti Hai Zarurat K Paish-E-Nazar, 

Ab Ek Nazar Mein Lutt Janay Ka Zamana Nahi Raha...!

Aansooun Ki Tarah


Aansooun Ki Tarah Nazron Say Giraya Us Nay,
Apni Khabar Na Mili Kuch Aisay Khak Mein Milaya Us Nay,

Elzaam Mujh Pay Lagaaya Magar Bewafa Khud Tha,
Pehlay Deewana Banaya Phir Mujhay Thukraya Us Nay...!

Usko Mazaa Aata Hai Mujhko Sataane Mein
Mujhe Geeli Lakri ki Tarah Jalaya Us Ne,

Aaya Na Tha Us ko Wada Wafa Karna
Logon ko Jhota Apni Wafa ka Qisa Sunaya Us Ne,

Tanhayon Ke Dard Se khoob Waqif Tha Woh “FARAZ”
Pher Bhi Dunya Mein Mujhe TANHA Baanaya Us Ne.

Ek Jhootha Lafz "Mohabbat" Ka...!!!


Is Dil Mein Salamat Hai Ab Tak
Wo Shokhi-E-Lab Wo Haraf-E-Wafa,

Wo Naqsh-E-Qadam Wo Aks-E-Hina
So Bar Jisay Choma Hum Nay,

Is Dil Mein Salamat Hai Ab Tak,
Wo Gard-E-Alam Wo Deeda-E-Num,

Hum Jis Mein Chupa Ker Rakhty Thy,
Tasweer Bikharti Yaadon Ki,

Zanjeer Pighalty Waadon Ki,
Poonji Nakam Iradon Ki,

Ay Teiz Hawa Naraz Na Ho,
Is Dil Mein Salamat Hai Ab Tak,

Kuch Rezy Naram Sawalon K,
Kuch Dar Anmol Khayalon K,

Ek Sacha Roop Haqiqat Ka,
Ek Jhootha Lafz "Mohabbat" Ka...!!!



Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...