Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, April 30, 2013

Thoda thoda besabar hai




Thoda thoda besabar hai, bekhabar hai
Jo dil hai tera mera
Thoda thoda hosh uda hai, gumshuda hai
Jo dil hai tera mera

Ho jabse main tujhse mila hoon
Tabhi se toh main khoya sa rehta hoon
Tabhi se toh hai tapish ye khalish ye khumari

Piya.. piya, naa maane mera jiya
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa, main jaanu naa 

Har ek pal shaqal badal ke
Mujhe dikha raha hai khwaab kal ke
Dekho na khwab hai dekh lo, ho...

Asmaan se main phisal ke
Teri baahon me rahoon pighal ke
Aaj ki yeh raat hai kal kya jaane ho

Ho dil ne iraada kiya hai
Aankhon se koi ishara de diya hai
Kaisi ho rahi tapish ye khalish ye khumaari

Piya.. piya, naa maane mera jiya...
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa, main jaanu naa 

Dil tu sambhal raha hai ab kyun
Behoshiyaan khili hai ab tu
Baahon mein ye karwate baandh le

Zara thehar ke sun jo main kahoon
Nazdiqiyon mein ghul ke ab tu
Saanson ki aahatein thaam le, jaan le
Pehchaan le jo huaa hai
Sach hai yaa ho raha koi gumaan hai
Kaisi ho rahi tapish ye khalish ye khumaari

Piya.. piya, naa maane mera jiya
Jiya, jaane kahaan ye le chala
Main jaanu naa, main jaanu naa 





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...