Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, March 7, 2013

Kasur apna hy

Kasur apna hy
chand ko chune ki tamna ki
asman ko zameen pr manga
phol chaha ke patheron pr khilay
kanton ne ki talash khushbu0 ki
arzu thi pyar thandak dy
 barf mein dhundte rhe garmi
khwab jo dekha chaha such ho jaye
is ki hm ko saza to milni hi thi
such to ye hai
 kasur apna hy
itni jaldi
 youn dhup mein kb tk gomo ge
aao chal k
 bity dino ki chawon mein bethy
us lamhe ki bat kre
 k jis mein koi phol khila tha
 us lamhe ki bat kre
 k jis mein kisi awaz ki chandi khankti thi
jis lamhe ki bat kre
 k jis mein 
kisi ki nazron ke moti
 barsy the
koi purani yad
 mera rsta roke
 mujhe se kehti hai
 itni jaldi dhup mein
 youn kb tk gomo ge.






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...