Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, January 30, 2013

Abhi abhi toh mile ho




Abhi abhi toh mile ho
Abhi na karo chootne ki baat
Abhi abhi toh pasand aaye ho
Abhi abhi rootne ki baat
Abhi abhi toh roshni aayi
Abhi na karo muh chupane ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai
Abhi abhi tham jaane ki baat
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina neend tihare

Teri baazoo mein meri chahate samaaye
Teri dhadkanon ko meri dhadkane sunaye
Teri khwahishon se meri khwahishe riha hai
Teri karwato se meri daastan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon
Hum nawa�
Abhi abhi dil ki suni hai
Abhi na karo zamane ki baat
Abhi abhi baat rukhi hai
Abhi abhi dohrane ki baat
Abhi abhi aawargi aayi
Abhi na karo sambhalne ki baat
Abhi abhi zindagi shuru hai..
Abhi abhi tham jaane ki baat
Woh subah toh bewaja ho
Ki guzare bin tumhare jis ki raat
Teri baazoo mein meri chahate samaahe
Teri dhadkanon ko meri dhadkane sunaye
Teri khwahishon se meri khwahishe rahi hai
Teri karwato se meri daastan bayaan hai
Kya sukoon kya junoon
Hum nawa�
Hum toh haare mahiya re
Moonde naina neend tihare 





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...