Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 29, 2012

mai dhonta phira

Tum phir na a sakon gy,batana tu tha muje

tum door ja ke bas gy,mai dhonta phira

warna ghar kho jain gy

Tum jo socho wo tum jano hum tu apni kehty hay

dair na karna ghar jany mai warna ghar kho jain gy

thandi hawa chaly

Tooty sakoot qisa mehro wafa chaly

dam ghut raha hy donton thandi hawa chaly

thandi hawa chaly

Tooty sakoot qisa mehro wafa chaly

dam ghut raha hy donton thandi hawa chaly

Tooti sanson

Tooti sanson ke daman mai utarti saetain

likh rahi hay lamha lamha ek saday iztarab

kitny parindon par gay

Toota hy zoor teir hawaon ka akhirsh

ye or baat kitny parindon par gay

meri tarha

Tees uthi thi na anso thy rawan

dar pay unwan tha meri tarha

Har roz hamey

Har roz hamey milna har roz bichardana hy
mai raat ki parchain to subha ka chera hy
Alam ka ye sab naqsha bacho ka gharonda hy
ek zarey ke qabzey mai sehmi hoi dunya hy
hamrah chalon mery ya rah sy hat jao
Dewar ke roky sy darya kahi rukta hy
En ke hi isharon par ye raat mili hum ko
jin chand sitarey sy chehrey ka saya bhi sunhera hy
Sannatey ke shakhon par kuch zakhmi parindy hay
khamoshi bazate-khud awaz ka sehra hy
ek gond bhatakti hy sunsan pahardon mai
jab raat ke seeny mai dil mera dharakta hy
kab jany hawa es ko bikhra dy fizaon mai
khamosh darakhton par sehma howa naghma hy

Hawa mai dhond rahi hy koi sada muj ko

Hawa mai dhond rahi hy koi sada muj ko
pukarta hy pahardon ka silsilah muje ko

Mai asma-o-zameen ke hadey mila deta
koi sitara agar jhuk ke chomta muje ko

Chipak gy mery talwon sy phool seshy ke
zamana khench raha tha barhana paa muje ko

WO shehsawar barda reham dil tha mery lieye
bardha ke nezah zameen sy utha liya muje ko

mkan,khait,sabhi aag ki lapeet mai thy
sunheri ghaas mao es ny chupa diya muje ko

Tu aik hat mai ly aag ek mai pani
tamam raat hawa mai jala bojha muje ko

Bas ek raat mai sarsabz ye zameen hoi


Tuje udas bi karna tha khud bi rona tha..

Tuje udas bi karna tha khud bi rona tha..
ye haadsa bi meri jaan kabhi to hona tha..

Woh muje torr ke phir jorta raha aksar..
main uske waaste jaise koi khilona tha..

Humen kahin na kahin to bichar hi jana tha
yei haadsa meri zindagi mei aana tha

Woh shaks mujhe saari umar tarse ga..
Naseeb uska “ke usne muje ganwana tha”



Tumhara Dil Jo Hai Janaa

Tumhara Dil Jo Hai Janaa
Humare Naam Ker Daina
Zaroorat ger Pari Mujh Ko
To Main Kuch Or Mangon ga
Na Jaan Maangon ga
Na Pehchaan Mangon ga
Choti Si Guzarish Hai
Tumhara Sath Maangon ga
Ager Naraaz Ker Doge
Main Tum Se Rooth Jaon Ga
Bulana B Ager Chaho
To Wapis He na Aaon ga
Main Hasaas Larka Hon
Mera Dil Toot Jayega
Bohut Rona B Aayega
Ager Tum Maan Jaoge
Khushi Se Jhoom Jaonga
Tumhe Apna Banaonga
Ager Nazer E Karam Ho To
Mera Ik Kaam Ker Daina…..!
Tumhara Dil Jo Hai Janaa
Humare Naam Ker Daina………

Kubhi Kubhi Tou Bohat Yaad Aanay Lagtay Ho

Kubhi Kubhi Tou Bohat Yaad Aanay Lagtay Ho
Ke Rooth’tay Ho Kubhi Aur Manaanay Lagtay Ho

Gila Tou Ye Hai Ke TUM Aatay Nahee Kubhi Laikin
Jub Aatay Bhee Hou Tou Foran Hee Jaanay Lagtay Ho

Ye Baat Jhon Tumhari Mazaaq Hai Ke Nahi ?
Ke Jo Bhee Ho Ose Tum Aazmaanay Lagtay Ho

Tumhaari Shaayari Kia Hai Bhala, Bhala Kia Hai ?
Tum Apne Dil Ki Udaasi Ko Gaanay Lagtay Ho

Sarwad-e-Aatish-e-Zarreen Sehen-e-Khaamooshi
Wo Daagh Hai Jisay Har Shab Jalaanay Lagtay Ho

Suna Hai Kehkashaanon Mein Roz-o-Shab Hee Nahee
Tou Phir Tum Apni Zabaan Kiun Jalaanay Lagtay Ho ?



Bekaar Sawalon Main Paband Na Kia Kr_,,

Aye Raat Sony Dy Youn Tang Na Kia Kr,,
Bekaar Sawalon Main Paband Na Kia Kr_,,

Iss Ke Siwa Aur Bhi Zamany Ke Kaam Hain,,
Tu Mere Khayalat Be_Dhang Na Kia Kr_,,

Dunia Main Aur Log Bhi Basty Hain Tanha,,
Tu Sirf Mere Sath Hi Jang Na Kia Kr_,,

Aey Raat Sony Dy Youn Tang Na kia kr_,,
Mazboot hon, pr itni bhee nahi hon,,

Dunia ke sabhi gham to mere sang na kia kr_,,
Aey Raat Sony Dy,, Youn Tang Na Kiya Kar..



jis k chahne wale Hazaaro thay .!

Kyun na gharoor karoon mein Apne aap par,

Mujhe us ne chaha, jis k chahne wale Hazaaro thay .!

Kubhi Kubhi Tou Bohat Yaad

Kubhi Kubhi Tou Bohat Yaad Aanay Lagtay Ho
Ke Rooth’tay Ho Kubhi Aur Manaanay Lagtay Ho

Gila Tou Ye Hai Ke TUM Aatay Nahee Kubhi Laikin
Jub Aatay Bhee Hou Tou Foran Hee Jaanay Lagtay Ho

Ye Baat Jhon Tumhari Mazaaq Hai Ke Nahi ?
Ke Jo Bhee Ho Ose Tum Aazmaanay Lagtay Ho

Tumhaari Shaayari Kia Hai Bhala, Bhala Kia Hai ?
Tum Apne Dil Ki Udaasi Ko Gaanay Lagtay Ho

Sarwad-e-Aatish-e-Zarreen Sehen-e-Khaamooshi
Wo Daagh Hai Jisay Har Shab Jalaanay Lagtay Ho

Suna Hai Kehkashaanon Mein Roz-o-Shab Hee Nahee
Tou Phir Tum Apni Zabaan Kiun Jalaanay Lagtay Ho ?

mohabbat Koi Kaam Hi Nhi..!!

Har Koi Pochta He Karte Kya Ho Tum,

Goya K Jese mohabbat Koi Kaam Hi Nhi..!!

bichar bichar kar..!!

Uss ko maloom hay, ke uss bin hum toot jate hain,

Phr kiun wo azmaata hy hum ko, bichar bichar kar..!!

bichar bichar kar..!!

Uss ko maloom hay, ke uss bin hum toot jate hain,

Phr kiun wo azmaata hy hum ko, bichar bichar kar..!!

Udas chehra

Mizaaj barhm Khafa Sa lehja

Udas chehra
naraz ankhen
Waja jo poochi men ny us sy
JAAN mri udas q ho?
Q ho barhm?
Naraz q ho?
Bhr k uchli ankhen uski
Larkhra k galy Sy lag kr
"Muj sy Boli"
Kahan gaye thy? Q gaye thy?
Mujy btao
tmhary bin jo be'basi thi
Elaaj us ka bta K Jaty,
tm jo bichro kahan mn dhoondon?
Suraag apna bta K Jaty,
Tmhen pata tha Tmhary bin men
ek Pal b reh nhi skti
Chahy bichry dunia Sari
Tri judai Seh Ni skti
Tmhen qasm hy ab na jana
mr jaon gi tmhary bin men
Chalo Ab muj sy Wada kr lo
Kahin b jao
Kbi b jao
Sath mujk0 ly K Jana
Phr Sy mujko sza Na dena
Tmhen Qasm hy.............

Hui Hai Shaam

Hui Hai Shaam Tou aankhon mein Bas Gayaa Phir tu,
kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tu,
Bohat Udaas Hai Ik ShaKhs Tere Jaane Se,
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usii Kii Khaatir tu,
Merii Misaal Ke Ik NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Huu.N
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taa_ir tu,
Mai.n Jaantaa Huu.N Ke Duniyaa Tujhe Badal Degii
Mai.n Maanataa Huun Ke aisaa Nahii.n Bazaahir tu,
Ha.Nsii Khushii Se bichhar Jaa agar BichhaDnaa hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai aaKhir tu,?
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaanaa Saahib-e-Zar aur Sirf Shaayar tu..

Abhi Teri Daastan Mein Gum Hun

Hisaar-e-Lafz-o-Bayaan Mein Gum Hun
Abhi Teri Daastan Mein Gum Hun
Mein Dekh Sakti Hun Doston Ko
Magar Saf-e-Dushmanaan Mein Gum Hun
Badan Ka aPna azaab Hai aur
Isi Azaab-e-Ziaan Mein Gum Hun
Ye Loog Ghar Keh Rahay Hain Jisko
Mein aisay Makaan Mein Gum Hun
Kahan Wo Lazzat Musaafaton Ki ?
Mein Manzilon Ke Nishaan mein Gum Hun
Khabar Nahi Mauj-e-Dast-e-Jaan Ki
Hawaa Hun aur Baadbaan Mein Gum Hun
Abhi Kahan Fursat-e-Mohabbat ?
Abhi Mein Kaar-e-Jahaan Mein Gum Hun

Meri Muhabbat Ki Tarah..!!

Mujhe Kis Taraf Jaana Hay Kuch Khabar Nahi,

Mere Raastey Bhi Kho Gaye Meri Muhabbat Ki Tarah..!!

Bura Hai To, Bhi Acha Hai

Wo Acha Hai To Acha Hai’ Bura Hai To, Bhi Acha Hai

Mizaaj_E_Ishq Mein Aieb_E_Yaar Dekhe Nahi Jate..

In larazte honto se muskura de koi

Mere sukun ko laota de koi
In larazte honto se muskura de koi

Bahut derd sama rakha is sine me
Dawa bankar is derd ko mita de koi

Mujhe bhi muskurane ki tamanna hai bahut
Is gham k samundar me khushyan la de koi

Tanha chalte chalte ab thak gaya hun main
Safar k is tanhayi ko akar mita de koi

Jine k liye mere pas yaadon k siwa kuch nahi
Marne k liye apni muhabbat ka sahara de de koi 
 

Jab tere saath main, aur tu mere saath ho..

Kaash ek waqt ki aisi baat ho,
Jab tere saath main, aur tu mere saath ho.


Haath pakad kar chale hum akeli raahon main,
Tu mujhe dekhe unn pyaari nazaron se, aur le apni baahon main.


Chhune par sun ho jaun aur dhime se diya bhujhe,
Suno dhadkan meri jisme naam tera hi goonje.


Uss sannate ko koi tod na paye, mujhe tujh main khone de.
Meri sanson se mil ja aur mujhe apna hone de.


Pyar ki baatein karoon tujhse apni palkon ke aashiyaaney main,
Har ek lafz moti ban ke barse jinhe laga baras banane main.


Tujhe itni mohaabbat doon ki lage sapna sa koi,
Ki har lamha har pal lage apna sa koi.


Kash ek waqt ki aisi baat ho,
Jab tere saath main, aur tu mere saath ho.. 




Tuesday, February 28, 2012

Hon Kuch Main Pareshan Kuch Khush Bhi Hon

Hon Kuch Main Pareshan Kuch Khush Bhi Hon
Mere Sath Hai Tu Yaa Nehin Ho Is Guman Mein Hon
Hai Mujhe Nashaa Apne Khush Faham Hone Ka 
Tou Tu Wohi Hai Kyun Badalaa Tere Khayal Is Soch Mein Hon
Ye Tera Hi Dawaa Tha Main Tera Hon Tera Hi Rahon Ga
Zara Se Bickhare Hain Mere Halaat Tu Hai Juda, Is Sakhtay Mein Hon
Nehin Manta Tha Main Is Teri Benaam Mohabbat Ko Nazim
Bishraa Hon Tujh Se Tu Andazaa Hua Main Kitne Adhere Mein Hon
Hai Yahan Har Koi Dobaa Hua Dolat Ke Nashay Mein Nazim 
 Acha Hai Tu Koi Ghum Nehin, Main Is Nazim's Poetry Ke Khumar Mein Hon 
( Nazim Ali )


Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain

Karnay ko meray zimay abhi kaam bohat hain
Sach ye bhe hay sar paiy meray ilzaam bohat hain
Main dhoondta phirta hon jisay koocha ba koocha
Iss naam k insaan yahan aam bohat hain
Ab chahnay saiy milti hay mohobat kahan aisay
Bazaar main iss shay k ab daam bohat hain
Taareef kron teri mohobat ke zaban main
Gulshan main teri khushboo ke iqsaam bohat hain
Laina hay mujhay kiya teri duniya-o-jahan saiy
Dil main teri yaadon k sobha shaam bohat hain
Jaanum teri duniya main nehi milti rafaaqat
Keh dau k siwa wasl k anjaam bohat hain
Na cheez naiy iss cheez ko kiya cheez haiy sumjha
Iss lafz-e-mohobat main aalaam bohat hain
Maayal haiy Shaukat zindagi anjaam ke jaanib
Chal rukk k zara tou abhi inaam bohat hain

Monday, February 27, 2012

Tere bad koi sakoon raha

na khyal-e-sood-o-zayan raha
na kisi khushi ki talab rahi
tere bad koi sakoon raha
na hawa-e-sheher tarab rahi

meri dharkano me basi hoi
mere khoon me hy ghuli hoi
wo tere jamal ki taazgi
jo mere junon k sabab rahi

mere bad guzri hy us pe kya
mujhe uski koi khabar nahi
wo ujaalti rahi zindagi
k aseer-e-halqa-e-shab rahi

wo nahi hy to
nahi khud se b
koi rabta
koi silsila
wohi roz-o-shab mere bs me thy
meri dastaras me wo jab rahi

tu raha kisi ki talash me
main teri talash me gum raha
teri justaju b ajeeb thi
meri justaju b ajab rahi



Azaad Kar Kay

Palat Kar Phir Yaheen Aajayenge Hum,

Woh Dekhe To Humein Azaad Kar Kay..

ریت پر بیٹھ کر بہتے ہوے اشکوں سے


ریت پر بیٹھ کر بہتے ہوے اشکوں سے
تم بھی لکھو گے میرا نام مگر میرے بعد

Rait per Baith kar Bahtay Ashkoon sy
Tum bhi Likho gay Mera naam Mager mery baad.

Ishq Vich Rab Bhul Janda

Ishq Vich Rab Bhul Janda, Sohne Sajna De Utte Dil Dul Janda
Ishq Vich Rab Bhul Janda, Sohne Sajna De Utte Dil Dul Janda
Ye Yaar Saath Nibhave Ta Sara Dukh Bhul Janda,
Ye Yaar Dhokha De Jave Ta Banda Jeonde Jee Rul Janda
Fer Aundi Yaad Rab Di Jado Sab Kuch Tutt Janda, Fer Rab Bhi Kehnda
Tenu Yaar V De Dinda Te Pyaar Tv, Je Tu Ishq Vich Menu Na Bhul Janda

main ambra

main ambra de vicho tutte taare gin riha,
udeeka ohdia ch beh k ohde laare gin riha.
ohde aun di tareek kite pyi hi na hove,
tahio kalla kalla din main dubaare gin riha.
jehde hasde ne meria gareebia’n de utte,
vehde apne cho ohna de chubaare gin riha.
aise ginti ch SHANKY khore langh jawe raat,
yaad ohdi vich ro ro hanjhu khaare gin riha

Howa tu kuch bhi nahi

Howa tu kuch bhi nahi

Bus kaheen door kisi
Benam sanatey may
Shesha-e-dil tootney ki sadaa ayi hai
Uss sadaa may kaheen nihaan hain
Kuch zakhm harey
Zakhm wo jo miley

Sahra-e-muhabbt ki musafaton may
Kuch vasl lamhon ki chahatoon may
Fasana-e-dil ki kitabaton may
Per ab
Be-naam si kasak jag uthi hai
Aik nai fikr jag uthi hai
Koun chunnay ga
Kirchiyan bhikhri hoi si
Koun karega rangeen haath
Apney
Lahoo se
Bus itni hi si tu baat hai jaanan
Aur tu
Howa kuch bhi nahi

Bus yaad banker
Kuch khaar lamhey
Aankhon may chubh gaye hain
Aur
Zara si palkain hi tu num hoi hain
Aur tu
Howa kuch bhi nahi

Suno Musaafir...

Suno Musaafir...
Zara Ruko To...
K Aaj Mosam Bdal Raha Hy
Ye Rasty Jo Bohat Dino Se
Tumhare Qadmon Se Aashna Thy
Ye Rasty B Thaky Hoe Hein
Suno Musaafir...
Zara Sa Ruk Kr
Ksi Ki Darkhan Ka Shor Sun Lo..!!
Ksi Ki Ankhon K Taary Gin Lo..!!
Suno Musaafir...
Safar Kabi B

Ksi Ko B
Sath Ly Kr
Chalty Nahi Rahy Hain..
Hr Ek Ko Manzil B Kab Hy Milti
Ye Manzalein To Ksi Ksi Ka Naseeb Thehrin
Suno Musaafir...
Bhatak Bhatak Kr...
Tarap Tarap Kr...
Sisak Sisak Kr...
Dehek Dehek Kr...
Ksi K Jazbat So Na Jain...
Suno Musaafir
Zara Sa Ruk Kr...
Ksi Ki Dharkan Ka Shor Sun Lo..


Main tera kuch bi nahi hoon

Main tera kuch bi nahi hoon magar itna to bataa.!,
Mujhe dekh k tere zehan main aata kiya hai.!,
Main tera kuch bi nahi hoon magar itna to bataa.!
,
Mujhe dekh k tere zehan main aata kiya hai.!,

Meri ‘Maa’ es pr b muskura deti hai

Wo mare badsalooki mai bi mujhy dua dati hai.
Aghosh mai le kr sb ghum bhula date hai.
Yun lagta hai jaisy jannat sy a rahe ho khushbo.
Jb wo apny palu sy mujhy hawa dati hai.
Mai agar kroon anjany mai koi ghalte.
Meri ‘Maa’ es pr b muskura deti hai.
Kya khub bnaya hai rab ny rishta ‘Maa’ ka.
Weeran ghar ko b jannat bna dati hai
‘Maa’ ke bad mera kon sahara hai.
Ye he soch mujhy kbe kabi rula dati hai…!!

Intehaa Kar Doon…

Bebas Kar Deta Hai Qanoon-E-Mohabbat Warna,

Main Tumhe Itna Chahun Ke Intehaa Kar Doon…

Arzoo Ki Tarah………!

Raat Bhar Rooti Rahi Shama Bhi,

Meri Be’naam Arzoo Ki Tarah………!

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai

Phir Toot Ke Ronay Ki Rut Aayi Hai
Phir Se Dilon Ke Zakham Nikhartay Jaatay Hain
Jhooti Sachi Taabeeron Ki Khwaahish Hai
Kaisay Kaisay Khwaab Bikhartay Jaatay Hain
Kaisay Kaisay Yaaron Ka Behroop Khula
Kaisay Kaisay Khoul Utartay Jaatay Hain
In Haalon Kab Apnay Aap Ko Dekha Tha ?
Kehnay Ko Din Raat Guzartay Jaatay Hain
Raahgeeron Ki Khamooshi Ko Gour Se Sun,
Yun Hai Jaisay Maatam Kartay Jaatay Hain
Kubhi Kubhi Koi Aisa Musaafir Aata Hai
Rastay Apnay Aap Sanwartay Jaatay Hain
Sheher-e-Ghazal Ki Galyon Mein Dilgeer Tere
Tujh Se Teri Baatain Kartay Jaatay Hain

Dil Udaas Rehta Hai

Dil Udaas Rehta Hai
Baarishon Ke Mausam Mein
Zindagi Pighalti Hai
Khwaahishon ke Mausam Mein
Waqt Thehar Jata Hai
Muntazir Nigahon Mein
Janglon Ke Khatray Hain
Bastion Ki Raahon Mein
Ho Sake Tou Lout Aana
Pyar Ki Panahon Mein..
Ishq Ka Ijaara Hai
Dil Ki Shahraaon Per

Mukarney mein…

Karo phir Se koi Waada, Kabhi na phir bicharne ka,

Tumhe kya fark parta hai bicharne mein, Mukarney mein…

Thaher Sa Gya Ha!

Waqt Ko Najanay Kya Hoo Gya Hai,

Jab Se Tum Gaye Ho Thaher Sa Gya Ha!

Thaher Sa Gya Ha!

Waqt Ko Najanay Kya Hoo Gya Hai,

Jab Se Tum Gaye Ho Thaher Sa Gya Ha!

Kuch Aisa Ho Yeh Shaam Dhale

Kuch Aisa Ho Yeh Shaam Dhale
Koi Haath Me Thame Haath Mera
Koi Le Ke Mujh Ko Saath Chale
Koi Baithe Mere Pehlu Me
Mere Haath Pe Apna Hath Dhare
Aur Ponch Ke Aansu Ankhon Se
Woh Dheere Se Yeh Baat Kahe
Yun Tanha Safar Ab Kat Ta Nahi
Chalo Hum Bhi Tumhare Saath Chalein

Kamaal ke Hain..!

Muntazir Sub Mere Zawaal ke Hain,

Mere Ehbaab Bhi Kamaal ke Hain..!

Saath Mere Yeh Hunar Raha

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha
Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha
Subah-E-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa
Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha
Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi
Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha
Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi
Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha
Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua
Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai,Yehi Dil Mein Dar Raha
Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha ‘Munir’
Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha

roz mehakti hai….

Tujhe bhulany ki koshish to bohat ki “aye bewafa”,

Teri yadain gulab ki wo shaakh hai jo roz mehakti hai….

Jalta rehta to raakh ho jata !!!

Ehtyaatan bujha sa rehta hun,

Jalta rehta to raakh ho jata !!!

chalo ik bar chaltay hain

Kabhi bay simt ruston per chalo ik bar chaltay hain
Dikhai day koi manzil chalo ik bar chaltay hain
Yahan thum saa gaya hay waqt howa kya hay khuda janay
Jahan gardish main ho dunya chalo ik bar chaltay hain
Yohien daamun bechaaye intezaar-e-ghum main kya rehna
Kehien bay chain lumhon main chalo ik bar chaltay hain
Budal kar daikh laitay hein hum apni zeest ka mausum
Jahan mausum budaltay hon chalo ik bar chaltay hain
Sunna hay kooch karnay say budal jaati hein taqdeerein
Yaqeen rukhtay howay dil main chalo ik bar chaltay hain
Saja kar rakh leye hein dard jo hum nay naseebon main
Kisi goher-e-shifa k paas chalo ik bar chaltay hain
Saza ka ore jaza ka moamla chhordo ab jaanay dau
Jahan na khatm hon sudyaan chalo ik bar chaltay hain
Tumhain koe ozer na ho tau, ye shaukat ko bata daina
Wafa ka imtehaan hay ye chalo ik bar chaltay hain

Kuch zakham bharty hain

Sabhi insan hain mager
Faraq sirf itna hay
Kuch zakham dety hain
Kuch zakham bharty hain
Humsafar
Boht hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch sath dety hain
Kuch chor dety hain
Piyar
Sabhi kerty hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch jaan dety hain
Kuch jaan lety hain
Dosti
Sabhi kerty hain
Mager
Farq sirf itna hay
Kuch loog nibhatay hain
Kuch loog aazmatay hain

Fasanaa Hai…

Aankhon Mein Namii Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hai

Nazuk Si Nigaahon Mein Nazuk Saa Fasanaa Hai…

Bhulana Mushkil Hai…!!

Be Kaif Sahi, Be Rang Sahi, Ek Leher To Ab Bhi Aati Hai ..

Dil Laakh Shikasta Ho Mohsin, Yaadon Ka Bhulana Mushkil Hai…!!

Chalay Aana….!!

Nishaani Apny Ghar Ki Kya Baataon Tujh Ko,

Jahaan Veerraniyan Dekho, Chalay Aana….!!

Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye

Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye,
Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye,
Kat’ti nahin yeh zindagi umeed ke bagher,
Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye,
Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de,
Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye,
Dunya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoon,
Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye,
Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat,
Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye…

اِک بے نام مسافت نے

گھیر لیا ہے وحشت نے
اِک بے نام مسافت نے

دل کا رستہ دیکھ لیا ہے
ایک اداس محبت نے

شہر ِ وفا برباد کیا ہے
بے مہری کی عادت نے

آنکھوں کو حیرانی دی ہے
درد کی اتنی شدت نے

ہجر مسافر کر ڈالا ہے
آخر اپنی قسمت نے

کارِ سخن آسان کیا ہے

صبح و شام ریاضت نے

Rakha Kia Hai ????????

Teri Soorat Se Hai Aalam Mein Bahaaron Ko Sabaat………….

Teri Aankhon Ke Siwa Duniya Mein Rakha Kia Hai ????????

Sunday, February 26, 2012

Agar Ye Such Hai


تُمھاری بات سے دل تھم گیا ھے پل بھر کو

اگریہ سچ ھے،مِری جان جا بھی سکتی ھے

Saturday, February 25, 2012

Boseeda purane kisi samaan main rakh de

Boseeda purane kisi samaan main rakh de
Ya phir kisi toote hoye guldaan main rakh de

Chahat k chiraaghon ko to jalna hai jalenge
To in ko uthha ker bhale toofaan main rakh de

Qadmon main taray maslay hoye phool nahi hain
Chahat ki chita hai kisi shamshaan main rakh de

Saansen na chuka paai hain qayamat jo wafa ki
Ab jism ki mitti ko bhi tawwan main rakh de

Mohsin tere jazbaat yahan kon sune ga
Be rabt khayalaat ko deewan main rakh de
 
 
 

Tu ne Kis Dard

Main Tujhe Yaad Bhi karta Hon To Jal Uthta Hon,
Tu ne Kis Dard K Sehra Main Ganwaya Hai Mujhe

Bas Dard Detey Raha Karo

Hum Ne Kab Manga Hai Tum Se Apni Wafaon Ka Silaa..

Bas Dard Detey Raha Karo “MOHABBAT” Barhti Jae Ge..

Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye

Hum nahin kehte hamari, teri dunya ho jaye,
Itne rangon mein koi rang to apna ho jaye,
Ishq woh “turfa-balaa” hai ke kare jis ki talb,
Us ko maloom na ho, Sheher mein charcha ho jaye,
Do sitaron ko jo dekhoon teri ankhen ban jayen,
Chand ko dheyan mein laaon tera chehra ho jaye,
Har dora hai yeh nigehbaan khari hai kismat,
Kese mumkin hai ke har shasks ka socha, ho jaye,
Hum ko har bazm mein, Har haal mein sach kehna hai,
Sheher ka sheher khafaa hota hai, Acha ho jaye,
Ishq woh kaar-e-musalsal hai nahin jis ki akheer,
Us ki taufiq hai jis shakhs se jitna ho jaye,
Husn ki ankh woh tahsees talb hai amjad,
Bheerr ho charon taraf aur koi tanha ho jaye..

kinaroon se poochiye…

Lehron se khailna to sagar ka shoq hai,
Lagti hai chott kaise, kinaroon se poochiye…

Kari Tanhaiyon Ko Humsafar

Kari Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main
Khiyal-e-Yaar TujhKo Mautbar Kehta Raha Hoon Main,
Karaya Shaam-e-Furaqat Ne Taruf Ek Niya Is Ka
Woh Ek Dariya Ko Jisko Chashm-e-Tar Kehta Raha Hoon Main,
Wahaan Bhi Log Apni Kirchiyaan Cunte Nazar Aaye
Jahaan K Pathron Ko Be Zarar Kehta Raha Hoon Main,
Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre
Woh Qatil Tha Jise Jaan-o-Jigar Kehta Raha Hoon Main,
Sila Ab Aur Kiya Maango “Qateel” Apni Ebadat ka
Yehi Meri Jannat Jis Ko Ghar Kehta Raha Hoon Main..

Naaqaam Rehta Hun Aksar

Ye Waaqiya Hai Ke Naaqaam Rehta Hun Aksar

Mein Jub Bhee Apna Koi Imtehaan Leta Hun

Ye Kia Ke Ishq Karoon


Ye Kia Ke Ishq Karoon Paas-e-Aabroo Na Karoon
Mein Tujh Ko Kho Ke, Khuda Ki Bhi Justuju Na Karoon
Mein Intezaar-e-Tuluu-e-Seher Mein Jeeta Hun
Mein Apna Chaak-e-Girebaan Kubhi Raffu Na Karoon
TU Sirf Jism Nahi Hai, Waraa-e-Jism Bhi Hai
Mein Tujh Ko Paa Ke Bhi Kiun Teri Aarzoo Na Karoon ?
Gayuur Hun Ke Ijaara Pasand Hun, Kia Hun ?
Mein Tujhe Apnay Khuda Ke Bhi Ruu-Baruu Na Karoon
Ye Mashwaray Tou Mere Tark-e-Shair Ke Hain Nadeem
Ke Jab Bhi Shair Kahoon, Dil Lahoo Lahoo Na Karoon………!
Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...