na khyal-e-sood-o-zayan raha
na kisi khushi ki talab rahi
tere bad koi sakoon raha
na hawa-e-sheher tarab rahi
meri dharkano me basi hoi
mere khoon me hy ghuli hoi
wo tere jamal ki taazgi
jo mere junon k sabab rahi
mere bad guzri hy us pe kya
mujhe uski koi khabar nahi
wo ujaalti rahi zindagi
k aseer-e-halqa-e-shab rahi
wo nahi hy to
nahi khud se b
koi rabta
koi silsila
wohi roz-o-shab mere bs me thy
meri dastaras me wo jab rahi
tu raha kisi ki talash me
main teri talash me gum raha
teri justaju b ajeeb thi
meri justaju b ajab rahi
na kisi khushi ki talab rahi
tere bad koi sakoon raha
na hawa-e-sheher tarab rahi
meri dharkano me basi hoi
mere khoon me hy ghuli hoi
wo tere jamal ki taazgi
jo mere junon k sabab rahi
mere bad guzri hy us pe kya
mujhe uski koi khabar nahi
wo ujaalti rahi zindagi
k aseer-e-halqa-e-shab rahi
wo nahi hy to
nahi khud se b
koi rabta
koi silsila
wohi roz-o-shab mere bs me thy
meri dastaras me wo jab rahi
tu raha kisi ki talash me
main teri talash me gum raha
teri justaju b ajeeb thi
meri justaju b ajab rahi
No comments:
Post a Comment