Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, December 6, 2012

Mein Tanhaa Hun, Mein TanhaTha…!

Tanhayi Ka Dukh Gehra Tha
Mein Darya Darya Rota Tha
Ek Hee Leher Na Sambhli Warna
Mein Toofaanon Se Khaila Tha
Tanhaayi Ka Tanha Saaya
Dair Se Mere Saath Laga Tha
Chhor Gaye Jub Saaray Saathi
Tanhaayi Ne Saath Diya Tha
Sookh Gayi Jab Sukh Ki Daali
Tanhaayi Ka Phool Khila Tha
Tanhaayi Mein Yaad-e-Khuda Thi
Tanhaayi Mein Khauf-e-Khuda Tha
Tanhaayi Mohraab-e-Ibaadat
Tanhaayi Manbar Ka Diya Tha
Tanhaayi Mera Paa-e-Shikasta
Tanhaayi Mera Dast-e-Dua Tha
Wo Jannat Mere Dil Mein Chhupi Thi
Jisay Mein Baahir Dhoond Raha Tha
Tanhaayi Mere Dil Ki Jannat……………..
Mein Tanhaa Hun, Mein TanhaTha…!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...