Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, December 6, 2012

Aayina dekh ke

Aayina dekh ke, aik aur tamasha dekho,
Apne paikar mein mera hussan-e-tamana dekho,
Tum ko khush ayi na shayed meri palkon ki nami,
Dil mein utray ho to aao mera sehraa dekho,
Meri peyas’on, meri aaso’n, meri ankhon mein kabhi,
Mere ban, mere gulistaan, mere daryaa dekho,
Naam le ker mera, tum us ko pukaaro to sahi,
Is bhare sheher mein jis shakhs ko tanha dekho,
Main mohabbat ke safar mein nahin bhatkoon ga kabhi,
Apne qadmon se chamakta hua rasta dekho,
Main agar yaad na aaon, to chaman mein ja kar,
Shaakh ke hath se girta hua pataa dekho..

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...