Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, November 3, 2012

rehaa hone se darta hai

yahan har shaks har pal haadsa hone se darta hai
khilona hai jo mitti ka fana hone se darta hai
mere dil ke kisi kone mein ek massom sa baccha
badon ki dekhkar duniya bada hone se darta hai
na bus mein zindagi iske na kaboo maut par iska
magar insaan phir bhi kab khuda hone se darta hai
ajab ye zindagi ki qaid hai, duniya ka har insaan
rehaai mangta hai aur rehaa hone se darta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...