Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, June 7, 2011

Kuch Kami Si Lagti Hai Tum Bin


Kuch Kami Si Lagti Hai Tum Bin.
Na Rang Hai Na Roshni Hai Tum Bin.
Waqt Apni Raftaar Se Chal Raha Hai.
Bas Dharkan Thami Si Hai Tum Bin.
Na Barish Hai Na Dhuaan Hai Jana.
Phir Bhi Dil Mein Tapish Si Hai Tum Bin.
Bohat Roka Hai Baadal Ko Barasne Se.
Phir Bhi Ankhon Mein Nami Si Hai Tum Bin.

Oske Ikhlaaq Se Mohabbat Ki Hai.
Oske Aehsas Se Mahabbat Ki Hai.
Woh Mere Pass Nahi Hai Phir Bhi.
Maine OsKi Yaad Se Mohabbat Ki Hai.
Kabhi Os Ne Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga.
Maine Un Lamhaat Se Bhi Mohabbat Ki Hai.
Osse Milna To Khuwab Lagta Hai Ab Mujhe.
Maine To Oske "INTIZAR" Se Mohabbat Ki Hai.


Tere Bina Hum Jeena Bhool Jate Hain
Zakhmon Ko Seena Bhool Jate Hain
Tu Zindagi Mein Sub Se Azeez Hai Hamain
Tujhse Her Baar Yeh Kehna Bhool Jaatay Hain



KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN



Pyar k Deep Jalanay walay
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
 
Apni Jaan se Janay walay
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
 
Hijar kay gehraay zakham milay
to mujh ko yeh Ehsas hoa
Pagal ko samjhanay walay
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
 
jaan se pyaray Logoon se bhi
kuch kuch parda laazim hay
Saari Baat Batanay walay
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN
 
Us kay ishq main bheeg kay
hum ko yeh ehsas hoa
Dil ki Baat main Aanay walay
KUCH KUCH PAGHAL HOTAY HAIN



Aankhain Tanha Ho Jati Hain


Aankhain Tanha Ho Jati Hain
Dard Ka Sehra Ho Jati Hain

Dil Ka Kia Hai Dil Ki Batain
Aksar Ruswa Ho Jati Hain

To Hota Hai Lekin Shamain
Kaise Tanhaa Ho Jati Hain

Tere Bin Ye Chandani Ratain
Ghum Ka Naqsha Ho Jati Hain

Asl Ki Janib Laut K Aksar
Naslain Yakjaa Ho Jati Hain

Kion Haar Bar Safar Ki Shamain
Tera Chehra Ho Jati Hain



Mere Madhosh Khwaab Woh Taron Bhari Raten



Mere Madhosh Khwaab Woh Taron Bhari Raten
Uss Chaand Ka Muskurana Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara
Neendon Se Jagii Ankhen Siine Parr Behatii Woh Sansen
Labon Parr Bhikharii Shabnam Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara
Sawalon Ki Barsat Jawabon Mai Ruthnna
Pyar Kii Kasam Par Lautna Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara
Woh Hijjrr Ki Lambii Raten Kitabon Mai Shukhe Ful
Ansun Bann Yadon Ka Barsna Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara
Meri Harr Bat Ki Fikrr Intazar Ki Pareshani
Mere Ladkhadane Se Tera Tutna Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara
Jate Rahe Woh Meharba Jab Se Rehata Hu Unn Yadon Mai
Ab Dard Ki Shqll Liye Hai Woh Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara
Chubtii Hai Sansen Shor Machata Hai Dil
Har Waqt Nabz Ginnta Mai Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara
Pahucha Me Uss Zamii Koo Mitti Thii Woh Sanju Sii
Ansun Kii Bundh Thii Terii Sii Mujhe Woh Yaad Hai Zara Zara



...:::Main Ne Poocha Kaisay Ho:::...



Main Ne Poocha Kaisay Ho?
Badlay Ho Yan Waisay Ho?

Roop Wohi Andaz Wohi
Ya Phir Is Main Koi Kami?

Hijer Ka Kuch Ihsaas To Ho ga
Koi tumharay pass to ho ga?

Main bichra yeah majboori thi
Kab manzoor mujhe doori thi

Sath Hamara Kab choota
Rooh ka rishta kab toota

Ankh se jo Aansoo behte hain
Tum ko khabar hai kia kehte hain?

Main ne kaha awaz tumhari
Aaj bhi hai humraaz hamari

Phool Wafa ke khil jaien gay
                                        Ik din hum phir mil jaien gay...



Kia Karnama Pindi Ka Jawan Kar Gaya




Kia Karnama Pindi Ka Jawan Kar Gaya.
Taza Humare Dil Mein Eman Kar Gaya.
Wasil E Jahanum Kia Tukhm E Haraam Ko.
Qadri Tu Poori Qom Pe Ahsan Kar Gaya.
Ishq-E-Rasool Pe Waar Di Lazzat Jahan Ki.
Agle Jahan Ka Aesa Saman Kar Gaya.
Gardan Pe Har Gustakh Ki Hai Shamsheer-E-Musalman.
Islamabad Mein Tu  Elaan-E-Aam Kar Gaya.
Tere Amal Se Samt Mili Meri Shairi Ko Aaj.
Gunahgaar Par Tu Kitna Ahsaan Kar Gaya.
 

Mumtaz Tu Or Bhi MUMTAZ Ho Gaya..



Tere Naam se Teri Zaat se Mere Hum-Safar kOi GiLa Nahi


Tere Naam se Teri Zaat se Mere Hum-Safar kOi GiLa Nahi
Jo Zakhm mila Tere HiJJar se Wo Phir Kabhi SiLa Nahi
Barre Shauq se Barre ChaaO se mE nE Naam Tera Rakha Wafa
Mere Hum Nasheen Mere Hum-Nawa Tu Ne Ki Mgr Wafa Nahi
Teri Yad Main Houn Dar Badar Tujhe Dhoondta mE Shehr Shehr
Kisi Or Ka Na Main Ho Saka Jab Tu Hi Mujh Ko Mila Nahi
Kal Raat Meri Chaand Se Baatein Teri Hotin Rahin
Wo Bhi Raat Bhar Jagta Raha Main Bhi Raat Bhar Soya Nahi.



Teri Aaghosh Main Sar Rakh Ke Jo Sojaon Kabhi



Teri Aaghosh Main Sar Rakh Ke Jo Sojaon Kabhi.
Kachi Neendon Main Mujhe Chhu Ke Uthana Na Kabhi.
Khuwab Main Hole Se Muskra Ke Jo Karwat Badlon.
Apne Khuwabon Ke Talasim Se Jagana Na Kabhi.
Tere Dil Main Jo Kisi Or Ki Chahat Ubhre.
Bhool Kar Bhi Mujhe Yeh Baat Batana Na Kabhi.
Yeh Nahi Kehte Ke Her Lamha Mujhe Yaad Rakho.
Per Hamaisha Ke Liye MujhKo Bhulna Na Kabhi.AS



Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat



Hijar Ka Taara Doob Chala Hai Dhalne Lagi Hai Raat.
Qatra Qatra Baras Rahi Hai Ashkoon Ki Barsaat.
Tere Baad Yeh Duniya Wale MujhKo Pagal Kar Dein Ge.
Khushbu Ke Dais Main MujhKo Le Chal Apne Sath Wasi.
Aaj To OsKa Chehra Bhi Kuch Badla Badla Lagta Hai.
Mosam Badla Duniya Badli Badal Gaye Halat.
Chhor "Ali" Ab Oski Yadein TujhKo Pagal Kar Dain Gi.
Tu Qatra Hai Woh Darya Hai Dekh Apni Auqaat Ali.



Koi To Azab-e-Tanhai Se Bachane Aye



Koi To Azab-e-Tanhai Se Bachane Aye,
Humdard Baney Mera Mujhe Samjahne Aye.
Kitney Shab-o-Roz Main Tanha Guzaron Logo,
Ab To Galey Koi Mujh Ko Lagane Aye.
Main Apni Har Sans Us Shakhs Par Lota Don,
Jo Mujhe Umar Bhar Ko Apna Bananey Aye.
Har Imtihan Main Utar Jaon Ga Pora,
Chahey Koi So Bar Mujhe Aazmane Aye.
Main Hi Kehta Hon Har Bar Main Hon Us Ka,
Kash Ab Ki Bar Wo Khud Ye Jatane Aye...! Shakir Aslam



Mohabaton Ke Haseen Fasane Ki Baat Matt Kar



Mohabaton Ke Haseen Fasane Ki Baat Matt Kar.
Tu Is Zamane Mein Os Zamane Ki Baat Matt Kar.
Bharam Jo Qayam Hai Dosti Ka Rahe To Behtar.
Tu Meri Maan Isko Aazmane Ki Baat Matt Kar.
Muhabaton Ke Liye Haqaiq Nahi Badalte.
Tu Panioan Mein Diya Jalane Ki Baat Matt Kar.
QabuliYat Ka Hai Koun Sa Pal Kise Khabar Hai.
Mazaaq Mein Bhi Ae Yaar Jane Ki Baat Matt Kar.
Tu Or Jo Bhi Kahe Gi Main Maan Loon Ga.
Bus Iltija Hai Mujhe Bhulane Ki Baat Matt Kar.AS



BeQarar Mosam Mein Yaad Ke Jhrokon Se



BeQarar Mosam Mein Yaad Ke Jhrokon Se.
Phir TumhiSe Milne Ki Dil Mein Kitni Khwahish Hai.
Aaj Kal December Ki Phir Udass Shamein Hain.
In Ujaar Aankhon Mein Zard Zard Ratain Hain.
Barishon Ke Mosam Mein Toot Phoot Jata Hoon.
Jab Bhi Yaad Aati Ho Khud Ko Bhool Jata Hoon.
Tujhe Kese Batao Mein December Ki Sard Raato Mein.
Tu Kitna Yaad Aati Hai Mujhe Kitna Satati Hai.
Tujhe Qasam Hai Meri "Annu" Mere Tu Pass Aaa Na.
Mujhe Kyoun Itna Satati Hai Kyoun Itna Rolati Hai.



Alfaz Ke Jhote Bandhan Mein



Alfaz Ke Jhote Bandhan Mein.
Aghaz Ke Gehre Pardon Mein.
Har Shakhs Muhabbat Karta Hai.
Halan Ke Muhabbat Kuch Bhi Nahi.
Sab Jhote Rishte Nate Hain.
Sab Dil Rakhne Ki Baten Hain.
Kab Koun Kisi Ka Hota Hai.
Sab Asli Roop Chupate Hain.
Aehsas Se Khali Log Yahan.
Lafzon Ke Teer Chalate Hain.
Aek Bar Nazar Mein Aa Ke Woh.
Phir Sari Umar Rulate Hain.
Yeh Ishq-O-Muhabbat Mehr-O-Wafa.
Yeh Sab Kehne Ki Baten Hain.
Har Shaks Khudi Ki Masti Mein.
Bas Apni Khatir Jeeta Hai.



Tum Talu-E-Aftab Se Yaad Aati Ho Aksar



Tum Talu-E-Aftab Se Yaad Aati Ho Aksar.
Tumhari Furqat Mein Mein Dil Jalata Hoon Aksar.
Din Guzar Jata Hai Yadon Mein Tumhari.
Sham HoNe Se Phir Ashk Bahata Hoon Aksar.
Sara Alam Raat Ko So Jata Hai Jab.
Guzre Huwe Lamhat MujhKo Satate Hain Aksar.
Jab Afsurda Hota hai dil ka angan mera
Geet ghamon k phir gungnaty hain aksar
Kabhi aaty hain khuabon mein milne.. Jana
Ankh khulne se pehle wo chor jate hain aksar.



Udaas Jagti Aankhon Ke Khuwab LaYa Hun



Udaas Jagti Aankhon Ke Khuwab LaYa Hun.
Mein Pathron Main Chupa Kar Gulab LaYa Hun.
Jo Ho Sake To Tanhaion Main Parh LeNa.
Tumhare Waste Dil Ki Kitab LaYa Hun.
Woh Aek Sawal Jo Tum Ne Kabhi Nahi Pucha.
Saja Ke Palkoon Pe Is Ka Jawab LaYa Hun.
TujhKo MujhSe Nahi Meri Mohabbat Se Gila Ho Ga.
Le Dekh Main Khulasa E Ahbab LaYa Hun.
Dil Pe LaGae Zakham To Sub Mita Chuka Hun Shan.
Yeh To Rooh Ke Zakhmon Ka Hisab LaYa Hun.As



Apni Mohabbat Per Bohat Naaz Tha Mujhe


Apni Mohabbat Per Bohat Naaz Tha Mujhe.
Is Main Hoga Dhoka Kabhi Socha Na Tha.
MaiNe Khud Ko Bhula Diya Os Ki Chahat Main.
Woh Mujhe Bhula DeGa Kabhi Socha Na Tha.
Woh Mulaqaten Woh Qasmen Woh Waade.
Sub Dikhawa Ho Ga kabhi Socha Na Tha.
Dikha Ke Khoobsurat Khawab MujhKo.
Phir Khud Hi Torr DeGa Kabhi Socha Na Tha.
Khud Chal Kar Mere Sath Manzil Ki Taraf.
Phir Tanha Chorr DeGa Kabhi Socha Na Tha.



Suno DECEMBER Tum Mat Aaya Karo



Suno DECEMBER Tum Mat Aaya Karo!
Suno Ke Jab Bhi Tum Aate Ho.
Uddasion Ki Andekhi Barishoon Main Dil Ko Bhigo Dete Ho.
Tum Aate Ho Tu Barfeeli Si Tanhaiyoon Ki Sard Hawa.
Kantoon Ki Tarha Rag-o-Jaan Main Chubne Lagti Hai.
Aur Akeele Pan Main Dukh Jaaga 
Kar Neendoon Ko Nighal Jate Hain
Aur Jo Apne Judaai Ki Dhund Main Khu Gaye Hein.
Humse Bahut Dur Hogaye Hain.
Unki Yaad Phir Se Aane Lagti Hai.
Suno DECEMBER TUM MAT AAYA KARO.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...