Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, November 15, 2012

Kehin Koi Sayah Bi Muyasser Na Tha

Har Cheez Pe Khamoshi chaai Thi , 
Kehin Koi Sayah Bi Muyasser Na Tha
Main Ab Or Kya Likhon Tanhai Par,
 Shehar Mein Mujh Sa Koi Tanha Na Tha
Onche Onche Mehalon Mein Deta Raha Har Khushi 
Chote Se Mere Ghar Ko Khuda Ne Kabi Dekha Na Tha 
Maloom Ni Kya Juram Mujh Se Hua Kyun Ye Situm 
Maine Tu Aisa Khawab Kabi Ankhon Mein Sajaya Na Tha 
Mere Apne Saare Mujhe Chor Kar Begane Ban Jaye Ge 
Is Tarha Tu Maine Kabi Socha Na Tha 
Jiss Aas Umeed Pe Mera Ye Haal Hua Nazim 
Aye Khuda Tou Kabi Itna Laprwaa Tu Na Tha 
Nazim Sab Kuch Youn Mujh Se Door Hai
Itna Jaldi Wapis Loot Jaon Ga Ye Guman Na Tha 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...