Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, November 3, 2012

Chand Ghazal's

Hamne mita diya jahan bhi likha naam tera,
Apne Dil se mitana bhool gaye,
Tum Juda hue hamse muskurate hue,
Par Palkon Se aanso hatana bhool Gaye.
~~~~~~~~
Hakikat ke roop me khwab banta gaya,
Jaise jaise wo chehra kitab banta gaya,
Usne kaha paani accha lagta hai,
Fir mere ashqo ka talaab banta gaya
~~~~~~~~
Raat chup hai magar chand khamosh nahi,
Kaise kahu aaj phir hosh nahi,
Aisa duba hoon teri yaadon ki gehari me,
Hath me jam hai aur pine ka hosh nahi.
~~~~~~~~
Hamne tanhai me janjeer se baaten ki hai,
Apni soi hui takdeer se baaten ki hai,
Aapke didar ki khak tamanna hogi,
Jindagi bhar aapki tasveer se baaten ki hai.
~~~~~~~~
Teri yaad bhi sanam kamala karti hai,
Jo har pal dard banker dil ke pas rehti hai,
Jeete ji to jeene na diya isne,
Par ab marne par bhi kabar me rula deti hai.
~~~~~~~~
Tu awaaj de main chala aaonga,
Tu saaj de main chala aaonga,
Kya kahun fitrat kya hai is dil ki,
Tu saans le main chala aaonga.
~~~~~~~~
Zindagi meri aansuon me dhal gayi,
Saare zamane ki mujhse nazar badal gayi,
Waqt ne aisa sitam kiya hai yaaron,
Ki har aarzoo mere haathon si fisal gayi.
~~~~~~~~
Muddat se thi kisi se milne ki aarzoo,
Khwahishe didaar ne sab kuch gawan diya,
Kisi ne di khabar ki wo aaenge raat ko,
Itna kiya ujaala ki ghar tak jala diya.
~~~~~~~~
Kisi se baat karma ya bolna accha nahi lagta,
Tujhe dekha jab se doosra accha nahi lagta,
Tere bare mein sochta rehta hoon,
Par tere bare mein kisi se bolna accha nahi lagta.
~~~~~~~~
Hoti hai surkh agar aankhen to hone de,
Ji bhar ke aaj mujhe tu rone de,
Socha na tha bin tere bhi jina padega,
Kho gaye saare khwab to khone de.
~~~~~~~~
Hamari muskaan dekh ke duniya ne socha ki hum gum se khali hain,
Par unhe kya pata ki jis gum ke bag me duniya rehti hai hum us bag ke maali hain.
~~~~~~~~
Kisi nu dukh deke sukh paya te ki paya,
Kise da husn dekh ke chaheya ta ki chaheya,
Pyaar karde ho kise nu tan karde raho,
Par kisi hor da kho ke paya tan ki paya.
~~~~~~~~
Mitti ke putlon me DIL nahi hota,
Har maut ke piche Qatil nahi hota,
Har dil jeetne ki kabliyat rakhta hoon,
Par na jaane kyo sanam ka he dil hasil nahi hota.
~~~~~~~~
Wo hamare nahi hain to kya ghum hai,
Hum toh unke he hain ye kya kam hai,
Na gham kam hai na aansu kam hai,
Dekhte hain rulane waale me kitna dam hai.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...