Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, October 4, 2012

Lafzon Ki Justujoo Mai

Chalo Apni Mehfil Sajaaen Zara
Zamaane Ke Gham Ko Bhulaaen Zara
Muneer Aaj Phir Us Se Milte Chalen
Jhalak Us Ki Phir Dekh Aaen Zara
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Kisi Ki Dhun, Kisi Ke Gumaan Mai Rehte Hain
Hum Ek Khuwab Ki Surat Jahan Mai Rehte Hain
Ghamon Ki Dhoop Se Darte Nahi Hain Wo Amjad
Kisi Nigaah Ke Jo Saiybaan Mai Rehte Hain
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*
Lafzon Ki Justujoo Mai Sab Kuch Gunwa Diya
Wo Chal Diya Aur Mai Tarz-E-Adaa Dhondhta Raha
Us Ko Kisi Ne Rab Se Maang Liya Aur Mai
Sajday Mai Gir Ke Harf-E-Duaa Dhondhta Raha
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Jab Rooh Kisi Bojh Se Thak Jaati Hai
Ahsaas Ki Lo Aur Bhi Barh Jaati Hai
Mai Barhta Hun Zindagi Ki Janib Lekin
Zanjeer Si Paon Mai Chanak Jaati Hai
*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-
Lafzon Ke Fasaane Dhondhte Hain Hum Log
Lamhon Mai Zamaane Dhondhte Hain Hum Log
Tu Zehr Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi
Jeene Ke Bahaane Dhondhte Hain Hum Log


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...