Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, October 4, 2012

Aisa Ko'i Apna Bhi Talab'gaar Ho..


Lamhon Main Qaid Kar Day Jo Sadiyon Ki Chahtain

Hasrat Rahi K Aisa Ko'i Apna Bhi Talab'gaar Ho..-

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Wafa K Shehr Mein QEHAT-e-WAFA Hai Shayad

Hazaron Fard Hain Lekin, Koi Apna Nahi Milta...!

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujh Ko Dhoond Laita Hai Nitt Naye Bahanay Se

Dard Ho Gaya ha Waaqif Meray Her Thikanay Se.!

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Barish hui to ghar k dareechay se lag k,

Chup Chap Sogwaar tujhe sochty rahy.!

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Samajh Nahi Aati Wafa Karain To Kis Se Karain
‘Wasi’
Mitti Se Bane Ye Loog Kagaz Ke Tukron Pe Bik Jaty Hain…!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...