Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 2, 2012

Muqaddar kabhi jaagtaa nahi

sach to yehi hai magar Dil manta nahi
wo badla to is qadar ke ab pehchanta nahi

poora na utar paye ga wo kasaoti pe wafa ki
hoti agar ye khabar to usse jaanchta nahi

wafa ki ik khwahish thi wafa ke sille me
kon hai jo Muhabbat ka silla mangta nahi

neend me Dar aate hain Sailaab jafa ke
fasl koi khwabon ki khud ujaarrtaa nahi

jeene ki talab me marte haine baar baar
kuch logon ka Muqaddar kabhi jaagtaa nahi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...