Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, August 2, 2012

Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Mujh Se Khafa Ho Ke Chup Chaap Sa Beth Jata Hai
Khud Bhi Jalta Hai Mujhey Bhi Saath Jalata Hai

Us Ko Manatey Hoye Mein Khud Hi Rooth Jayun To
Phir Merey Paas Aa Ke Raat Bhar Mujhey Manata Hai

Khud Hi Sawal Kar Ke Khud Hi Jawab Deta Hai
Phir Merey Seeney Se Lag Ke Khud Hi Gungunata Hai

Us Ek Pal Ke Sadqey Mein Meri To Her Khushi Qurbaan
Jab Wo Sher Kehtey Hoye Dheerey Se Muskurata Hai

Subh Ka Sitara Lagta Hai Zindagi Se Piyara Lagta Hai
Meri Bahon Mein Aatey Hoye Jab Wo Bohut Sharmata Hai

Meri Yaad Ke Mausam Ko Palkon Pe Sajaye Rakhta Hai
Beetey Hoye Her Pal Ki Khabar Mil Kar Mujhey Batata Hai

Merey Bagher Kesey Guzri Us Ki Kal Ki Raat
Us Ki Aankh Ka Phela Kajal Saari Kahani Sunata Hai

Is Shehar Ke Sawan Mein Barish Ki Raat Jab Aati Hai
Be Ikhtiyaar Hi Ek Shakhs Yaad Bohut Aa Jata Hai

Mein Us Ke Naam Ki Nisbat Se Mooatbar Hun Apni Zaat Mein
Merey Khayal Ka Her Ek Saaz Geet Usi Ke Gata Hai


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...