Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, August 7, 2012

Mujhe Tumse Mohabbat Hai...

Kaha Na Pyar Hai Tumse,
To Phir Kyon Zid Tumhari Hai
Ke Jab Bhi Milo Mujhse,
Yehi Ikraar Ho Lab Par,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Tumhe Malum Hai Jaana
Mohabbat To Mohabbat Hai,
Ye To Aankhon Mein Dikhti Hai,
Haseen Se Khwab Ki Soorat,
Ye To Ek Phool Sa Jazba Hai,
Ke Jisme Rang Bhi Aur Khushbuon Ka Sath Hota Hai,
Bahut Anmol Jazba Hai,
Ye Izhaar Ki Shiddat Ka Talib B Nai Hota,
Bahut Chup Chap Jazba Hai,
Dabe Paanv Hi Chala Ata Hai,
Magar Jo Naksh Is Ke Hai Bahut Hi Gehre Hote Hai,
Inhe Kehna Nahi Padta,
Lab To Khamosh Hote Hai Magar Izhaar Hai Hota,
Kabhi Aankhon Ki Shokhi Se,
Kabhi Baaton Ki Khusboo Se,
Ye Jazbaa Chhup Nahi Paata,
Ye Sab Batein Hai Mere Jaana,
Tumhe Malum Hi To Hai,
Tumhari Hi Kahi To Hai,
To Phir Kyon Zid Se Yehi Izhaar Ho Lab Par,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai,
Magar Tum Janti Ho Na Tumhari Baat Ko Jaana,
Nahi Main Taal Sakta Hoon,
Chalo Ikraar Karta Hoon,
Mujhe Tumse Mohabbat Hai...



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...