Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, May 15, 2012

Yeh ruke ager

Yeh ju rait-e-desht-e-firaq he
Yeh ruke ager
tu nisha-n mile
ye nisha-n mile
k ju faslo-n ki saleeb he
ye geDhi huwi he Kaha-n kaha-n!
mere Aasma-n se kidher mer gayee
Tere iltifat ki kehkasha-n
Mere Be-khaber
Mere Be-Nisha-n
Yeh ruke ager tu pata chale
Mai-n tha kis nager
tu ruka kaha-n
Ke Zama-n Maka-n ki wus-atai-n
Tujhe dekhne ko ters gai-n
Woh mere naseeb k barishai-n
kisi aur chhett per bers gai-n
Mere char soo he ghubar-e-ja-n
woh fishar-e-ja-n
Ke khaber nahi mere hath ko
Mere hath ki
Mere khuwab se tere Bam tak
Teri reh-guzer ka ziker kya
Nahee-n zo-fisha-n tera nam tak
He dhuwa-n dhuwa-n
mere istikhuwa-n tak
Mere anso-on mai-n bhuje huwe
Mere istikhuwa-n
Mere Naqsh-e-ger
Mere Naqsh-e-jan
Isi reg-e-desht-e-firaq main rahe muntizar
Tere muntizar
Mere khuwab jin ke fishar mai-n
Rahi mere hal se be-khaber
Teri reh-guzer
Teri reh-guzer ke ju Naqash hain
Mere hath per
Mager is bala ki he teergi
Ke khaber Nahi he mere Hath ko
Mere Hath ki
Woh chashm-e-shubaadah saz thi,
woh uthe ager
Mere istikhwa-n mai-n ho roshni
Is ik lamha-e-deed main
Teri reh-guzar
Meri teerah ja-n mai-n chamak uthe
Mere khuwab se
tere bam tak
Sabhi manzro-n mai-n damak uthe
Isi aik pal mai-n hu jawida-n
Meri Arzoo he ke be-kara-n
Meri zindagi ke he mukhtasir
Ju reg-e-desht-e-firaq he
Yeh ruke ager...........!




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...