Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, April 18, 2012

Tu hi haqeeqat khwaab Tu


Tu hi haqeeqat khwaab Tu.
Dariya Tu hi pyaas Tu. 
Tu hi dil ki bekarari. Tu sukoon Tu sukoon.
Jaoon Main ab jab jis jagah.
Paoon Main Tujh ko uss jagah.
Saath ho k na ho. 
Tu hai Rubaroo Tu hai Rubaroo.

Humsafar Tu Humkadam Tu Humnawah Mera Tu.. 
Humnawah Mera Aa Tujhe in baahon mein bhar k Aur bhi kar loon main kareeb.

Tu juda ho to lage hai Aata jaata har pal ajeeb.
Iss jahaan mein hai aur na hoga Mujhsa koi bhi khush Naseeb.
Tune Mujhko dil diya hai Main hoon Tere sabse kareeb.
Main hi Tere dil mein hoon.
Main hi Saanson mein basoon.

Tere dil ki dhadkanon me Main hi hoon.
Main hi hoon.

Kab bhala ab ye waqt guzre Kuch pata chalta hi nahi.
Jabse Mujhko Tu Mila hai Hosh kuch bhi apna nahi.
Uff ye Teri palken ghani si Chaanv inki hai dilnasheen.
Ab kise dar dhoop ka hai Kyun ki hain ye Mujh pe bicchi.
Tere bina na saans loon.
Tere bina na Main jiyun.
Tere bina na ek pal bhi Reh sakoon.

Tu hi haqeeqat khwaab Tu.
Dariya Tu hi pyaas Tu.





No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...