Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, April 17, 2012

Magr… Naraz mat hona


Ek Yaar Khafa Hai Humse
Woh Pyaar khafa Hai Humse
Ek Zindagi Tha Jo Meri,
Woh Dildar Khafa Hai Humse

Kehta Tha Woh Humse
Na Khafa Hoga Kabhi Humse
Bichad Bhi Jayen Jeevan Mein
Na Hoga Juda kabhi Dilse

Ek Arsa Beeta Hai Aye Dil
Na Koi Khabar Mili Unse
Chahat Mein Ibaadat-e-Ishq Mein
Jaane Kya Khata Hui Humse

Rootha Hai Humse Woh Dil
Gusse Ki Wajah Keh Humse
Milne Ki Dua De Humko
Ya Phir Marne Ki Dua De Dilse

==


Mai bhool jaoon jise ye wo hadsa nahi
wo aaj aise mila ki jaise jaanta nahi

haseen uske jaisa jahan mein koi nahi
ye aur baat hai mai usko chahata nahi

zah-e-naseeb wo naraaz ho gaye ham se
ye aur baat ke apni koi khata nahi

kise khabar thi ki suraj bhi ruth jayega
uss ikk makan se jiss mein koi diya nahi

sajaye rehta hai khamoshi hotho par
ajeeb shakhs hai kuch munh se bolta nahi

kisi ki raat hai roshan charagh ki manind
kisi makan mai bujhta huwa diya bhi nahi

gunahgar nigahon ne ye bhi dekha hai
gunahgar hua jiss ne kutch kiya nahi

merey khayal ki dehleez pe wo aa baittha
ab uss se batch ke guzarne ka raasta nahi

ham ne zeest bhi kardi usi ke naam sanam
jo hamko pyar se ikk baar dekhta bhi nahi

===



Naraaz Naa Ho Humse Hum Na Reh Payenge..,
Itna Bada Sadma Na Seh Payenge..,
Deti Hai Gum Zindagi Pal Pal humein ..,
Tune Diya To Jeene Se Pehle Hi Mar Jayenge…!
====


Khushiyo Se Naraz Hai Mere Zindgi.
Pyar Ki Mohtaj Hai Mare Zindgi
Has Leta Hoon Logo Ko Dekh Kar
Warna Dard Ki Kitab Hai Mare Zindgi.

==


Gilay chahy boht krna !
rulana or boht larhna !
Suno Naraz mat hona !
Kabi Aisa jo ho jaey !
K teri Yad se Ghafil
ksi Lamhe jo ho jaey!
Bina dekhe teri surat !
Kisi shab Main jo so jaon !
To sapno men chale ana !
Mujy Ehsas dila jana !
Magr…
Naraz mat hona”
==





Naraz Poetry in Urdu

Naraz Shayari




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...