Safar mein dhup to hogi jo chal sako to chalo
Sabhi hain bhir mein tum bhi nikal sako to chalo
Idhar udhar kaai manzil hain chal sako to chalo
Bane banaaye hain saanche jo dhal sako to chalo
Kisi ke waaste raahein kahan badlti hain
Tum apne aap ko khud he badal sako to chalo
Yahaan kisi ko koi raasta nahin deta
Mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo
Yahi hai zindagi kuch khuaab, chand umeedein
Inhi khilono.n se tum bhi bahel sako to chalo
Har ik safar ko hai mehfuz raaston ki talaash
Hifaazaton kii rivaayat badal sako to chalo
Kaheen nahin koi suraj, dhuaan dhuaan hai fizaa
Khud apne aap se baahar nikal sako to chalo
No comments:
Post a Comment