Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, April 27, 2012

Jab Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye


Jab Bhi Hansnay Ke Zamanay Aye

Zakham Phir Yaad Puranay Aye

Baar.ha Un Ko Manaya To Humain 

Rooth Janay Ke Bahanay Yaad Aye

Phir Mujhe Toot Ke Chaha Uss Ne

Phir Bicharnay Ke Zamanay Aye

Muskara Kar Humain Milne Wale

Zindgi Bhar Ko Rulanay Aye

Kitni Mehroom Thin Neendain Uss Ki

Khawab Bhi Jin Ko Jagaanay Aye

Teri Chahat Ne Tharnay Na Diya Warna

Rah Mein Kitne Thikanay Aye

Isi Umed Pe Jago Raat Bhar

Ab Wo Kis Waqt Naa Janay Aye

Raas Aya Jinhe Sehra Mohsin

Unn Ki Qismat Mein Khazanay Aye...!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...