Ik Shakhs Ko Dekha Tha Tarroon Ki Tarah Hum Ne
Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne
Ik Shaks Ko Samjha Tha Phoolon Ki Tarah Hum Ne
Wo Shakhs Qayamat Tha
Kiya Uski Karain Baatain
Din Us Ke Liye Paida Aur Uski He Thin Raatain
Kam Milta Kisi Se Tha Hum Se He Thin Mulaqaatein
Rang Uska Shahabi Tha, Zulfoun main Thin Meh'kaarein
Aankhein Thin Ke Jadu Tha, Palkein Thi Ke Talwarein
Dushman Bhe Agar Dekhe So Jaan Se Dil Haarein
Kuch Tum Se Wo Milta Tha Bataon Mein Shabahat Thi
Han Tumsa He Lagta Tha, Shokhi Mein Shararat Mein
Lagta Bhe Tumhi Sa Tha Dastor-e-Mohabbat Mein..
Wo Shaks Humain Ik Din Apnon Ki Tarha Bhula
Taron Ki Tarah Dooba,Pholon Ki Tarah Tota
Phir Haath Na Aaya Wo
Hum Ne Bohut Dhunda !
Tum kis liye Chonke Ho ?
Kab Zikar Tumhara Hai ?
Kab Tumse Taqaza Hai ?
Kab Tumse Shikayat hai ?
Ik Taza Hikayat Hai
Sunlo Tou Inayat hai . .
Ik Shakhs Ko Dekha Tha, Tarroon Ki Tarah Hum Ne
Ik Shakhs Ko Chaha Tha Apno Ki Tarah Hum Ne
Ik Taza Hikayat Hai, Sunlo Tou Inayat hai . .
No comments:
Post a Comment