Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, April 21, 2012

apnepan ka ehsaas



apnepan ka ehsaas woh jab mujhe dilata hai
ek ajeeb si dor se mujhe apne aur kareeb le jata hai
kabhi kabhi to lagti hai uski duriyan hi achchi mujhe
paas aa kar to mujhe aur bhi tadpata hai
chup reh ke bhi yun to kai baatein keh jata hai
par izhaar kar ke unn baaton ka mujhe hi khamosh kar jata hai
barso ki pehchan hai phir bhi
har baar woh mujhe ek naye rang mein nazar aata hai
jab raaz-e-dil karta hai bayaan to main chup si ho jati hoon
chupke se apni baat batake mujhko apni duniya mein le jata hai
kabhi narm to kabhi sakht kabhi dur kabhi paas rehta hai
har roop mein mujhko to bas wohi ek bhata hai
kabhi anjana kabhi begana kabhi apna kabhi jana pehchana banke
dhire dhire se haule haule se rooh mein utar jata hai


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...