Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, April 12, 2012

Aao ik khel khelte hain


Aao ik khel khelte hain
khel mohabbat ka jis main tum mujhe chaho aur main tumhein chahon
Aur kuch nahi bas khel ho ga
Tum ghabrana nahi
Tum Darna nahi
K iss khel mein bhi main tumhare saath rahon ga
Zayada nahi toh kuch Dair to sahi
Par Khel ho ga
Tum Ghabrana nahi
Main pyar se tumhare pass aoon ga
Tum se izhar-e-mohabbat keron ga
Ik phool doon ga tum ko
Kaan mein kuch keh jaon ga
Phir intezar keron ga tumhara main
Tum kya socho gi kya kaho gi
Be-chain rahon ga sochta rahon ga main
Tum thora sa itra jana
Thori si shararat thora sa bahana banana
Mere izhar ko be shak seeney se lagana
Par thora sa itra jana
Tum na kehna kuch dair talak ke tum bhi chahti ho mujhe
Kuch dair talak tum mujh ko thora sa tarpana
Phir main jab uth ker janey lagoon
Toh rook lena mujh ko
Haath thamna mera
Tum bhi keh dena
Keh dena ke tum ko mujh se mohabbat hai
Main sunon ga
Itmenan se bade Maan se
Par toofan ho ga ik uchalta hua mann mein
Tumhain bahon mein bharney ka
Pass apney bethaney ka
Phir yun ho ga ke hum tum dono
Kisi Darakht ke Taney saa'ey Taek lagaye
Khawahishon ke kuch Diye jalaye
Aik dojey ko Taktey jain ge
Kuch keh na paein ge
Yehi kerna hai bas iss khel main
Tum ghabrana nahi
Tum darna nahi
Ke yeh faqat ik khel ho ga
Khel ho ga aur bas
K kismat ki lakeeron se shayad tujhey main pa nahi sakta
Toh yeh Khel hi sahi
Zayda nahi toh kuch dair hi sahi ..!



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...