Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 17, 2012

Dhoop K Shehar Main “Ali”Ye Tamasha Na Karo

Dekh Lo Khawab Mager Khawab ka Charcha Na Karo
Loag Jal Jain Gay Suraj Ki Tamana Na Karo

Waqat Ka Kiya Hai Kesi Pal Bhi Badal Jaye Ga
Ho Sake Tum Se To Tum Mujh Pe Bhrosa Na Karo

Kirchian Toote Houe Aks Ki Chub Jain Gein
Aur Kuch Rooz Abhi Ayina Dekha Na Karo

Ajnabi Lagne Lage Khud Tumhe Apna He Wajood
Apne Din Raat Ko Itna Bhi Akela Na Karo

Khawab Bachoon k Kheloonon Ki Tarha Hote Hain
Khawab Dekha Na Karo Khawab Dekhaya Na Karo

Be Khayali Mein Kabhi Ungilein Jal Jain Gein
Raakh Guzare Houe Lamho Ki Kureda Na Karo

Moom K Rishte Hain Garmi Se Pighal Jain Gay
Dhoop K Shehar Main “Ali”Ye Tamasha Na Karo


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...