Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, March 7, 2012

Beautiful Nazam's

“Last Call”
Kal hamesha ki tarah us nay kaha yeh phone per
mai bahut masroof hoon mujhko bahut say kaam hain
is liye tum ao milnay, mai tu asakti nahin
har riwayat tor kar is bar mainay kah diya
tum jo ho masroof tu mai bhi bahut masroof hoon
tum jo ho mashhoor tu mai bhi bahut maroof hoon
tum agar gamgin ho mai bhi bahut ranjore hoon
tum thakan say choor ho tu mai bhi thakan say choor hoon
jaan-e-man hai wakt mera bhi bahut hi keemti
kuch puranay doston nay milnay ana hai abhi
mai bhi ab faarigh nahi mujh ko bhi lakho kaam hain
warna kahnay ko tu sab lamhay tumharay naam hain
meri ankhain bhi bahut bojhal hain sauna hain mujhay
ratjagon kay baad ab neendon mai khona hai mujhay
mai lahu apni anao ka baha sakta nahin
tum nahin atin tu milnay asakta nahin
us ko yeh kah kay WASI mai receiver rakh diya
aur phir apni ana kay paon pay sar rakh diya

<><><><><><><><><><>




Mari zindagi ka karar bhee tu
Mari her khushi ka izhar bhee tu
Mara bey-tehasha piyar bhee tu
Mari khuwaishoon ka dedar bhee tu
Mari ankhoon ka hai noor bhe tu
Mari zindagi ka saroor bhee tu
Maray ghum mein hai dhaal bhee tu
Maray her per waqt zehan-o-guman mein tu
Mari zindagi ka aarough bhee tu
Mari zindagi ka zawal bhee tu
Mari ashiqi ki sachi misal bhee tu
Mari zindagi ka husn-o-jamal bhee tu
Maray dil ka her aik khayal bhee tu
Mara wajood ka ____ hai ahsas bhee tu


<><><><><><><>><>><<>
Aaj mujhe apna pyar nazar aa gaya,
lagta hai ki sara jahan nazar aa gaya,
is qadar khushi nahi huyi thi aaj tak,
na jane kaisa aaj hamara andaz hi ho gaya…

neend hi nahi aa rahi yhi hame kal raat,
aapki tasweer dekhi na jana kab main so gaya ,
neend me bhi sata rahi thi bechaini hame,
khwab aapka aaya,bechaini ka naamonishan kho gaya……..

yaad aapki is qada aa rahi thi,
deedar aapka hua apki ankhon me kho gaya,
aa bhi jaao na satap iss qadar hame ,
kahin aisa na ho jab aap aao tokoi ye kahe aapse ,
aapka sachcha aashiq to abhi abhi janaze pe rawana ho gaya…………..


<><><><><><><>><>><<>
 
 
Har dard sahunga main, har jakham chhupa lunga
Main teri wafao ko sine se laga lunga
Yado ke jharokho se
Tu dur se dekha kar
Tu meri hakiqat ko
Tanhai mai socha kar
Tu jab bhi meri khatir
Kuchh dur chala hoga
Kya aag lagi hogi
Kya dil bhi jala hoga
Mera hi mukadar kyon
Ab pas nahi hota
Fir bhi mujhko kyon iska
Ehsas nahi hota
Ab chhod de duniya ko, aa dil ki panaho mai
Main tujhko utha lunga, Jajbat ki bahon mai
Tu pyar ke khwabo ko
Palko mai chhupaye rakh
Yado ko meri ab tu
Sine se lagaye rakh
Bite huye lamho ki
Fariyad sunaunga
Wapas teri duniya mai
Fir laut ke aaunga
Fir julf ke saye mai
Ye umar gujarunga
Main apne hi hatho se
Ab tujhko sawarunga
Ek pal ke liye ab main, Kabhi door na jaunga
Tere hushn ke saye mai, Main khud ko bichhaunga.

 <><><><><><><>><>><<>
 
 
Teri yaad nay
Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai

kuch acha nahin legta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai

tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai

sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai

muqadar say miltay hain bichar kay warna
ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai

najanay koi nahin basta teray siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai ”


 <><><><><><><>><>><<>

Kaun aayega yahan?
Na koi aaya hoga..
Mera darwaja hawaon ne hilaya hoga
Dil-e-nadan na dhadak
Koi khat leke padosi ke ghar aaya hoga
Gul se lipti hui titali ko gira kar dekho
Aandhiyon tumne darakhto ko to giraya hoga
Aye sanam,pardes mei mat yaad karo apna makan
Abke barisho ne use tod giraya hoga…………..

 <><><><><><><>><>><<>


 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...