Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, January 27, 2012

Hum ne rakha hai use dil k makan me,


Hum ne rakha hai use dil k makan me,
Barson jo kabhi hum se shanasa sar e bazar hoa.


Har shakhs ko maat toot kar chaho mere yaro,
Har shakhs kabhi piar ka khogar nahin hota.
Hum wafaen kar k rakhate hain wafaon ki umeed,
Dosti me is qadar soda gari bhi juram hai.
Har waqt ka hansana tujhe barbad na kar de,
Tanhai k lamhon me kabhi ro bhi lia karo.
Hawa ne toor k pata zameen pe phenka hai,
K shab ki jheel me pathar gara dia hai koi.
Ho na ho ye koi sach bolane wala hai qateel,
Jis k hathon me qalam paon me zanjeain hain.
Humen khabar hai k hum hain charagh e akhir e shab,
Hamare bad andhaira inhain ojhala hai.
Hazar rang bhare zindagi k khake me,
Tere baghair ye tasveer na mukamal hai.
Han muje rasam e muhabbat ka salika hi nahin,
Ja kisi aur ka hone ki ijazat hai tujhe.
Hum tujh se alag reh kar bhi rehte hain tere pass,
Hote hain teri bazam me hote hain jahan bhi.
Hawa se lapati hoi siskion se lagta hai,
Meri kahani kisi aur ne bhi dhohrai.
Har but me daikhata hon tera partwe jamal,
Masjid se kaam nahin hai shawala mere lie.
Hawae shab tujhe aingan se milna hai,
So tere pass imanat hai guftago meri.

Hum un ki rah me bethe hain naqash e pa ki tarah,
Mita to sakte hain lakin utha nahin sakte.

Hum na hote to kisi aur k charche hote,
Khalkat e sheher to kehne ko fasane mange.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...