Mujhe kamil yaqeen hai tum meri ban jaao gE ek din
tumhare dil mai utroon gI mohabbat ki sada ban kar
Mere josh-e-janoon par sari khalqat mujhko takti hai
zara tum bhi nazar dalo na bethoo yun Khuda ban kar
Tumhain yeh raaz batla doon k aksar chand ratoun main
teri aangan mai aatI hun sitaroun ki zeeya ban kar
Jigar ka khoon layI hoon tere singhaar ki khatir
hatheli par racha leyna ye mehkey ga Hina ban kar...!!!
No comments:
Post a Comment