Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, December 1, 2011

Kaha Us Nay Zamaana Dard Hai


Kaha Us Nay Zamaana Dard Hai Aur Tum Dawaa Jaisey,,

Laga "Tum Say Mohabbat Hai" Mujhe Us nay Kaha Jaisey,,

Talab Ki Us Ne Jab Mujh Sey Muhabbat Ki Wazahat To,,

Bataaya Dasht Kay Honton Pey Baarish Ki Duaa Jaisey,,

Suno Kiyun Dil Ki Basti Ki Taraf Sey Shor Uthaa Hai,,

Bataaya Haadisa Ehsaas Kay Ghar Mein Huaa Jaisey,,

Kaho Ay Gul Kabhi Khushboo Ka Tum Ney Aks Dekha Hai,,

Kaha Qaus-e_qazah K Sarey Rangon Ki Sadaa Jaisey,

Bhala Tum Rooh Ki in Kirchiyon Mein Dhoondhtey Kia Ho,,

Kaha Yeh Itni Roshan Hain K Sooraj Ho Diya Jaisey,,

Suno ... ! Aankhon Hi Aankhon Ka Bayaan Kaisa Laga Tum Ko,,

Laga Phoolon Sey Sargoshi Si Karti Ho Hawa Jaisey......!
 












No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...