Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, December 14, 2011


Ab K Tajdeed-e-Wafa Ka Nahi Imkan Jana
Yaad Kya Tujh Ko Dilaain Tera Pay'maan Jana

Yon Hi Mosam Ki Ada Dekh K Yaad Aya Hy
Kis Qdar Bdal Jaty Hain Insan Jana

Zindagi Teri Ata Thi
So Tere Naam Ki Hy
Hum Ne Jese B Basar Ki
Tera Ehsaan Jana

Dil Ye Kehta Hy K Shayd Ho Farsoda Tu B
Dil Ki Kya Baat Krain
Dil To Hy Nadaan Jana

Awal Awal Ki Mohabbat K Nashy Yaad To Kr
Be-Pye B Tera Chehra Tha Gulistan Jana

Akhir Akhir To Ye Alam Hy K Ab Hosh Nahi
Rag-e-Meena Sulag Uthi K Rag-e-Jan Jana

Mudaton Se Yehi Alam
Na Tawaqo
Na Umeed
Dil Pukary Hi Chala Jata Hy
Jana Jana

Hum B Kya Saada Thy Hum Ne B Samajh Rakha Tha
Ghum-e-Doraan Se Juda Hy Ghum-e-Jana Jana

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...