Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, December 10, 2011

Ab Bhala chorr ke Ghar kiya Karte

Ab Bhala chorr ke Ghar kiya Karte
Shaam Ke waqat Safar Kiya Karte
Teri Masrufiyaat Jante They
Apne Aney Ki Khabar Kiya Karte
Jab Sitarey Hi Nahi Mil Paye
Le Ke Hum Shams-o-Qamar Kya Karte
Wo musafir Hi Khuli Dhoop ka Tha
Saye Phaila Ke Shajar Kiya Karte
Khaak hi Awal-o-Akhir thhehri
Kar ke Zarey Ko Gauhar Kiya Karte
Raye pehle se hi bana li tune
Dil mein ab hum tere ghar kiya kerte
ishq ne sare saliqe bakhshay
hussan se kasb-e-hunar kiya kerte


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...