Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Yahan sub k muqaddar main faqat zakham-e-judai hai,

Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar k qisse,
Gul-o-gulzar ki baaten, lab-o-rukhsar k qisse ,

Yahan sub k muqaddar main faqat zakham-e-judai hai,
Sabhi jhoote fasane hain wisal-e-yaar k qisse,

Bhala ishq-o-mohabbat se kisi ka pait bharta hai?
Suno tum ko sunata hoon main karobar k qisse,

Mere ahbab kehte hain yahi aik aeb hai mujh main,
Sar-e-deewar likhta hoon, pus-e-deewar k qisse,

Main akser is liye logon se ja ker khud nahi milta,
Wahi be-kar ki baaten, wahi be-kar k qisse...
!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...