Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, November 18, 2011

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai

Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai 
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, 
teri mehfil hai
 yeh aasmaan, 
yeh badaal, 
yeh raste, 
yeh hawaa har aik cheez hai
 apni jagha thikane pe 
kai dino se shikayat nahi zamane se 
Yeh zindagi hai safar, 
tu safar ki manzil hai 
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, 
teri mehfil hai 
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai 
tere bagair jahaan main koi kami si thi 
bhatak rahi thi jawani andheri raahoon main 
sukoon dil ko mila aa k teri baahoon main 
main aik koi hui mouj hoon, 
tu sahil hai 
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, 
teri mehfil hai 
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai 
tere jamaal se roshan hai kainaat meri
meri talash teri dilkashi rahe 
baki khuda kare k yeh deewangi rahe 
baki teri wafaa hi meri har khushi ka hasil hai 
jahan bhi jaoon yeh lagta hai, 
teri mehfil hai 
Tu is tarha se meri zindagi main shamil hai



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...