Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, November 5, 2011

Raasta bhi kathin dhhoop main shiddat bhi bohat thi,

Raasta bhi kathin dhhoop main shiddat bhi bohat thi,
Saaye se magar us ko mohabbat bhi bohat thi,

Khaime na koi mere musafir k jalaye,
Zakhmi tha bohat paaon musafat bhi bohat thi,

Sub dost mere muntazie parda_e_shab thay,
Din main safar kerne main diqqat bhi bohat thi,

Baarish ki duaon main nami aankh ki mil jaaye,
Jazbe ki kabhi itni rafaqat bhi bohat thi,

Kuch to tere mousam he mujhe raas kum aaye,
Aur kuch meri matti main bhagawat bhi bohat thi,

Phoolon ka bikherna tou muqaddar he tha lekin,
Kuch is main hawaon ki siyasat bhi bohat thi,

Wo bhi sar_e_muqtil hai k sach jis ka tha shayad,
Aur waaqif_e_ahwaal adalaat bhi bohat thi,

Is tark_e_rafaqat pe pareshan to hon lekin,
Ab tak k tere waade pe hairat bhi bohat thi,

Khush aaye thay shaher_e_munafiq k ameeri,
Hum logon ko sach kehne ki aadat bhi bohat thi...!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...